rishta kya Thahrega ye jaise ki mu nazuk hai
rishta kyā Thahregā ye jaise ki mū nāzuk hai
chāk-e-dil palkoñ se mat sī ki rafū nāzuk hai
shāḳh-e-gul kaahe ko is lutf se lachke hai kahīñ
laag vaalā koī dekhe tujhe tū nāzuk hai
chashm-e-insāf se burqe ko uThā dekho use
gul ke muñh se to ka.ī parda vo rū nāzuk hai
lutf kyā deve tumheñ naqsh-e-hasīr-e-darvesh
boriyā-poshoñ se pūchho ye utū nāzuk hai
biiḌe khātā hai to aatā hai nazar paan kā rang
kis qadar haa.e re vo jild-e-gulū nāzuk hai
gul samajh kar na kahīñ bekalī karne lagiyo
bulbul us lāla-e-ḳhush-rang kī ḳhū nāzuk hai
rakkhe tā-chand ḳhayāl us sar-e-pur-shor kā 'mīr'
dil to kāñpā hī kare hai ki subū nāzuk hai
rishta kya Thahrega ye jaise ki mu nazuk hai
chaak-e-dil palkon se mat si ki rafu nazuk hai
shaKH-e-gul kahe ko is lutf se lachke hai kahin
lag wala koi dekhe tujhe tu nazuk hai
chashm-e-insaf se burqe ko uTha dekho use
gul ke munh se to kai parda wo ru nazuk hai
lutf kya dewe tumhein naqsh-e-hasir-e-darwesh
boriya-poshon se puchho ye utu nazuk hai
biDe khata hai to aata hai nazar pan ka rang
kis qadar hae re wo jild-e-gulu nazuk hai
gul samajh kar na kahin bekali karne lagiyo
bulbul us lala-e-KHush-rang ki KHu nazuk hai
rakkhe ta-chand KHayal us sar-e-pur-shor ka 'mir'
dil to kanpa hi kare hai ki subu nazuk hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1037
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.