rozon mein rah sakenge hum be-sharab kyunkar
rozoñ meñ rah sakeñge ham be-sharāb kyūñkar
guzregā ittiqā meñ 'ahd-e-shabāb kyūñkar
thoḌe se paanī meñ bhī chal nikle hai aphartā
be-tah hai sar na khīñche ik dam hubāb kyūñkar
chashme buhaire ab tak haiñ yādgār us ke
vo suukh sab ga.ī hai chashm-e-pur-āb kyūñkar
dil kī taraf kā pahlū sab muttasil jale hai
maḳhmal ho farsh kyoñ na āvegī ḳhvāb kyūñkar
avval sahūr khānā āḳhir subūhī karnā
aave na is 'amal se sharm-o-hijāb kyūñkar
ujḌe nagar ko dil ke dekhūñ huuñ jab kahūñ huuñ
ab phir basegī aisī bastī ḳharāb kyūñkar
jurm-o-zunūb to haiñ behadd-o-hasr yārab
roz-e-hisāb leñge mujh se hisāb kyūñkar
pesh-az-sahar uThe hai aaj us ke muñh kā parda
niklegā us taraf se ab āftāb kyūñkar
ḳhat 'mīr' aave jaave jo nikle raah udhar kī
nibhtā nahīñ hai qāsid laave javāb kyūñkar
rozon mein rah sakenge hum be-sharab kyunkar
guzrega ittiqa mein 'ahd-e-shabab kyunkar
thoDe se pani mein bhi chal nikle hai apharta
be-tah hai sar na khinche ek dam hubab kyunkar
chashme buhaire ab tak hain yaadgar us ke
wo sukh sab gai hai chashm-e-pur-ab kyunkar
dil ki taraf ka pahlu sab muttasil jale hai
maKHmal ho farsh kyon na aawegi KHwab kyunkar
awwal sahur khana aaKHir subuhi karna
aawe na is 'amal se sharm-o-hijab kyunkar
ujDe nagar ko dil ke dekhun hun jab kahun hun
ab phir basegi aisi basti KHarab kyunkar
jurm-o-zunub to hain behadd-o-hasr yarab
roz-e-hisab lenge mujh se hisab kyunkar
pesh-az-sahar uThe hai aaj us ke munh ka parda
niklega us taraf se ab aaftab kyunkar
KHat 'mir' aawe jawe jo nikle rah udhar ki
nibhta nahin hai qasid lawe jawab kyunkar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1613
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.