sab sharm-e-jabin-e-yar se pani hai
sab sharm-e-jabīn-e-yār se paanī hai
har-chand ki gul shagufta-peshānī hai
samjhe na ki bāzīcha-e-atfāl hue
laḌkoñ se mulāqāt hī nādānī hai
juuñ aa.ina sāmne khaḌā huuñ ya.anī
ḳhūbī se tire chehre kī hairānī hai
ḳhat likhte jo ḳhūñ-fishāñ the ham un ne kahā
kāġhaz jo likhe hai ab so afshānī hai
dozaḳh meñ huuñ jaltī jo rahe hai chhātī
dil-soḳhtakī azāb-e-rūhānī hai
minnat kī bahut to un ne do harf kahe
sau barsoñ meñ ik baat mirī maanī hai
kal sail sā joshāñ jo idhar aaya 'mīr'
sab bole ki ye faqīr-e-sailānī hai
sab sharm-e-jabin-e-yar se pani hai
har-chand ki gul shagufta-peshani hai
samjhe na ki bazicha-e-atfal hue
laDkon se mulaqat hi nadani hai
jun aaina samne khaDa hun yani
KHubi se tere chehre ki hairani hai
KHat likhte jo KHun-fishan the hum un ne kaha
kaghaz jo likhe hai ab so afshani hai
dozaKH mein hun jalti jo rahe hai chhati
dil-soKHtaki azab-e-ruhani hai
minnat ki bahut to un ne do harf kahe
sau barson mein ek baat meri mani hai
kal sail sa joshan jo idhar aaya 'mir'
sab bole ki ye faqir-e-sailani hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1267
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.