sar se aisi lagi hai ab ki jale jate hain
sar se aisī lagī hai ab ki jale jaate haiñ
muttasil sham.a se rote haiñ gale jaate haiñ
is gulistāñ meñ numūd apnī hai juuñ āb-e-ravāñ
dam-ba-dam martabe se apne chale jaate haiñ
tan-badan hijr meñ kyā kahiye ki kaisā sūkhā
halkī bhī baav meñ tinke se hale jaate haiñ
rahte dikhlā.ī nahīñ dete balā-kash us ke
jī khape jaate haiñ dil apne dale jaate haiñ
phir ba-ḳhud aa.e na bad-halī meñ be-ḳhud jo hue
aap se jaate haiñ ham bhī to bhale jaate haiñ
ḳhāk-e-pā us kī hai shāyad kisū kā surma-e-chashm
ḳhaak meñ ahl-e-nazar us se rale jaate haiñ
garm haiñ us kī taraf jaane ko ham lekin 'mīr'
har qadam zo.af-e-mohabbat se Dhale jaate haiñ
sar se aisi lagi hai ab ki jale jate hain
muttasil shama se rote hain gale jate hain
is gulistan mein numud apni hai jun aab-e-rawan
dam-ba-dam martabe se apne chale jate hain
tan-badan hijr mein kya kahiye ki kaisa sukha
halki bhi baw mein tinke se hale jate hain
rahte dikhlai nahin dete bala-kash us ke
ji khape jate hain dil apne dale jate hain
phir ba-KHud aae na bad-hali mein be-KHud jo hue
aap se jate hain hum bhi to bhale jate hain
KHak-e-pa us ki hai shayad kisu ka surma-e-chashm
KHak mein ahl-e-nazar us se rale jate hain
garm hain us ki taraf jaane ko hum lekin 'mir'
har qadam zoaf-e-mohabbat se Dhale jate hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1842
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.