sau zulm ke rahte hain saza-war hamesha
sau zulm ke rahte haiñ sazā-vār hamesha
ham be-gunāh us ke haiñ gunahgār hamesha
ek aan guzar jaa.e to kahne meñ kuchh aave
darpesh hai yaañ murdan-e-dushvār hamesha
dushman ko na kyoñ sharb-e-mudām aave mayassar
rahtī hai udhar hī nigah-e-yār hamesha
yūsuf se ka.ī aan ke tere sar-e-bāzār
bik jaate haiñ bātoñ meñ ḳharīdār hamesha
hai dāman-e-gul-chīñ chaman-e-jeb hamārā
duniyā meñ rahe dīda-e-ḳhūñ-bār hamesha
jo bin tire dekhe muā dozaḳh meñ hai ya.anī
rahtī hai use hasrat-e-dīdār hamesha
jiinā hai to be-tāqatī-o-be-ḳhudī hai 'mīr'
murda hai ġharaz ishq kā bīmār hamesha
sau zulm ke rahte hain saza-war hamesha
hum be-gunah us ke hain gunahgar hamesha
ek aan guzar jae to kahne mein kuchh aawe
darpesh hai yan murdan-e-dushwar hamesha
dushman ko na kyon sharb-e-mudam aawe mayassar
rahti hai udhar hi nigah-e-yar hamesha
yusuf se kai aan ke tere sar-e-bazar
bik jate hain baaton mein KHaridar hamesha
hai daman-e-gul-chin chaman-e-jeb hamara
duniya mein rahe dida-e-KHun-bar hamesha
jo bin tere dekhe mua dozaKH mein hai yani
rahti hai use hasrat-e-didar hamesha
jina hai to be-taqati-o-be-KHudi hai 'mir'
murda hai gharaz ishq ka bimar hamesha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0419
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.