shad afyuniyon ka dil ghamnak
shaad afyūniyoñ kā dil ġhamnāk
dasht dasht ab ke hai gul-e-tiryāk
tiin din gor meñ bhī bhārī haiñ
ya.anī āsūdgī nahīñ tah-e-ḳhāk
haath pahuñchā na us ke dāman tak
maiñ garebāñ karūñ na kyūñkar chaak
tez jaatā huuñ maiñ to juuñ sailāb
mere maane ho kyā ḳhas-o-ḳhāshāk
ishq se haath kyā milāve koī
yaañ zabardastoñ kī hai kushtī paak
bandagī-keshoñ par sitam mat kar
Dar ḳhudā se tū ai but-e-be-bāk
ishq-e-mard-āzmā ne āḳhir-e-kār
kiye farhād-o-qais 'mīr' halāk
shad afyuniyon ka dil ghamnak
dasht dasht ab ke hai gul-e-tiryak
tin din gor mein bhi bhaari hain
yani aasudgi nahin tah-e-KHak
hath pahuncha na us ke daman tak
main gareban karun na kyunkar chaak
tez jata hun main to jun sailab
mere mane ho kya KHas-o-KHashak
ishq se hath kya milawe koi
yan zabardaston ki hai kushti pak
bandagi-keshon par sitam mat kar
Dar KHuda se tu ai but-e-be-bak
ishq-e-mard-azma ne aaKHir-e-kar
kiye farhad-o-qais 'mir' halak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1664
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.