shab gae the bagh mein hum zulm ke mare hue
shab ga.e the baaġh meñ ham zulm ke maare hue
jaan ko apnī gul-e-mahtāb angāre hue
gor par merī pas-az-muddat qadam-ranja kiyā
ḳhaak meñ mujh ko milā kar mehrbāñ baare hue
āstīneñ rakhte rakhte dīda-e-ḳhūñ-bār par
halq-e-bismil kī tarah lohū ke favvāre hue
va.ade haiñ saare ḳhilāfī harf haiñ yaksar fareb
tum laḌakpan meñ kahāñ se aise 'ayyāre hue
phirte phirte āqibat āñkheñ hamārī muñd ga.iiñ
so ga.e behosh the ham raah ke haare hue
pyaar karne kā jo ḳhūbāñ ham pe rakhte haiñ gunāh
un se bhī to pūchhte tum itne kyoñ pyāre hue
tum jo ham se mil chale Tuk rashk sab karne lage
mehrbāñ jitne the apne mudda.ī saare hue
aaj mere ḳhuun par isrār har dam hai tumheñ
aa.e ho kyā jāniye tum kis ke sankāre hue
lete karvaT hil ga.e jo kaan ke motī tire
sharm se sar-dar-garebāñ sub.h ke taare hue
ustuḳhvāñ hī rah ga.e the yaañ dam-e-ḳhūñ-rez 'mīr'
dāñte paḌ kar nīmche us shoḳh ke aare hue
shab gae the bagh mein hum zulm ke mare hue
jaan ko apni gul-e-mahtab angare hue
gor par meri pas-az-muddat qadam-ranja kiya
KHak mein mujh ko mila kar mehrban bare hue
aastinen rakhte rakhte dida-e-KHun-bar par
halq-e-bismil ki tarah lohu ke fawware hue
wade hain sare KHilafi harf hain yaksar fareb
tum laDakpan mein kahan se aise 'ayyare hue
phirte phirte aaqibat aankhen hamari mund gain
so gae behosh the hum rah ke haare hue
pyar karne ka jo KHuban hum pe rakhte hain gunah
un se bhi to puchhte tum itne kyon pyare hue
tum jo hum se mil chale Tuk rashk sab karne lage
mehrban jitne the apne muddai sare hue
aaj mere KHun par israr har dam hai tumhein
aae ho kya jaaniye tum kis ke sankare hue
lete karwaT hil gae jo kan ke moti tere
sharm se sar-dar-gareban subh ke tare hue
ustuKHwan hi rah gae the yan dam-e-KHun-rez 'mir'
dante paD kar nimche us shoKH ke aare hue
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0544
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.