sheKHi ka ab kamal hai kuchh aur
sheḳhī kā ab kamāl hai kuchh aur
haal hai aur qaal hai kuchh aur
va.ade barsoñ ke kin ne dekhe haiñ
dam meñ āshiq kā haal hai kuchh aur
sahl mat buujh ye tilism-e-jahāñ
har jagah yaañ ḳhayāl hai kuchh aur
tū rag-e-jāñ samajhtī hogī nasīm
us ke gesū kā baal hai kuchh aur
na mileñ go ki hijr meñ mar jaa.eñ
āshiqoñ kā visāl hai kuchh aur
kūza-pushtī pe shaiḳh kī mat jaao
us pe bhī ehtimāl hai kuchh aur
is meñ us meñ baḌā tafāvut hai
kabk kī chāl-Dhāl hai kuchh aur
'mīr' talvār chaltī hai to chale
ḳhush-ḳharāmoñ kī chaal hai kuchh aur
sheKHi ka ab kamal hai kuchh aur
haal hai aur qal hai kuchh aur
wade barson ke kin ne dekhe hain
dam mein aashiq ka haal hai kuchh aur
sahl mat bujh ye tilism-e-jahan
har jagah yan KHayal hai kuchh aur
tu rag-e-jaan samajhti hogi nasim
us ke gesu ka baal hai kuchh aur
na milen go ki hijr mein mar jaen
aashiqon ka visal hai kuchh aur
kuza-pushti pe shaiKH ki mat jao
us pe bhi ehtimal hai kuchh aur
is mein us mein baDa tafawut hai
kabk ki chaal-Dhaal hai kuchh aur
'mir' talwar chalti hai to chale
KHush-KHaramon ki chaal hai kuchh aur
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0217
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.