sher kuchh maine kahe baalon ki uske yaad mein
sher kuchh maiñ ne kahe bāloñ kī us ke yaad meñ
so ġhazal paḌhte phire haiñ log faizabad meñ
surḳh āñkheñ ḳhashm se kiiñ un ne mujh par sub.h ko
dekhī ye tāsīr shab kī ḳhūñ-chakāñ fariyād meñ
ye tasarruf ishq kā hai sab vagarna zarf kyā
ek aalam ġham samāyā ḳhātir-e-nāshād meñ
ishq kī dīvāngī laa.ī hameñ jangal kī or
varna ham phirte bagūle se na ḳhāk-o-bād meñ
der lagtā hai gale talvār par vo rakh ke haath
ḳhūbiyāñ bhī to bahut haiñ us sitam-ījād meñ
ye binā rahtī sī aatī hai nazar kuchh yaañ mujhe
achchhī hai ta.amīr dil kī is ḳharāb-ābād meñ
'mīr' ham jab.ha-ḳharāshoñ se kisū kā zikr kyā
ve hunar ham meñ haiñ jo the taisha-e-farhād meñ
sher kuchh main ne kahe baalon ki us ke yaad mein
so ghazal paDhte phire hain log faizabad mein
surKH aankhen KHashm se kin un ne mujh par subh ko
dekhi ye tasir shab ki KHun-chakan fariyaad mein
ye tasarruf ishq ka hai sab wagarna zarf kya
ek aalam gham samaya KHatir-e-nashad mein
ishq ki diwangi lai hamein jangal ki or
warna hum phirte bagule se na KHak-o-baad mein
der lagta hai gale talwar par wo rakh ke hath
KHubiyan bhi to bahut hain us sitam-ijad mein
ye bina rahti si aati hai nazar kuchh yan mujhe
achchhi hai tamir dil ki is KHarab-abaad mein
'mir' hum jabha-KHarashon se kisu ka zikr kya
we hunar hum mein hain jo the taisha-e-farhad mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1183
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.