sohbat kisu se rakhne ka usko na tha dimagh
sohbat kisū se rakhne kā us ko na thā dimāġh
thā 'mīr'-e-be-dimāġh ko bhī kyā balā dimāġh
bāteñ kare birishtagī-e-dil kī par kahāñ
kartā hai is dimāġh-jale kā vafā dimāġh
do harf zer-e-lab kahe phir ho gayā ḳhamosh
ya.anī ki baat karne kā kis ko rahā dimāġh
kar fikr apnī tāqat-e-fikrī jo ho za.iif
ab sher-shā.erī kī taraf kab lagā dimāġh
ātish-zabānī sham.a-namat 'mīr' kī bahut
ab chāhiye muaaf rakheñ jal gayā dimāġh
sohbat kisu se rakhne ka us ko na tha dimagh
tha 'mir'-e-be-dimagh ko bhi kya bala dimagh
baaten kare birishtagi-e-dil ki par kahan
karta hai is dimagh-jale ka wafa dimagh
do harf zer-e-lab kahe phir ho gaya KHamosh
yani ki baat karne ka kis ko raha dimagh
kar fikr apni taqat-e-fikri jo ho zaif
ab sher-shaeri ki taraf kab laga dimagh
aatish-zabani shama-namat 'mir' ki bahut
ab chahiye muaf rakhen jal gaya dimagh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1156
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.