soz-e-darun se aag lagi hai sare badan mein tab si hai
soz-e-darūñ se aag lagī hai saare badan meñ tab sī hai
tāqat dil kī tamām huī hai jī kī chaal kuDhab sī hai
siine ke zaḳhm numāyāñ rahte chaak kiye sau parda-e-dar
muddat se ye raḳhne paḌe the chhātī phaTī maiñ ab sī hai
pursish-e-hāl kabhū karte haiñ nāz-o-chashm-e-ishārat se
un kī ināyat haal pe mere kyā pūchho ho ġhazab sī hai
god meñ merī rakh detā hai paañv hinā.ī dabne ko
yuuñ pāmāl jo maiñ hotā huuñ mujh ko bhī to dab sī hai
lutf kahāñ vo baat kiye par phuul se jhaḌne lag jāveñ
surḳh kalī bhī gul kī agarche yaar ke la.al-e-lab sī hai
ḳhāna-ḳharāb ho ḳhvāhish-e-dil kā aah nihāyat is ko nahīñ
jaan laboñ par aa.ī hai par to bhī garm-e-talab sī hai
tum kahte ho bosa-talab the shāyad shoḳhī karte hoñ
'mīr' to chup tasvīr se the ye baat unhoñ se ajab sī hai
soz-e-darun se aag lagi hai sare badan mein tab si hai
taqat dil ki tamam hui hai ji ki chaal kuDhab si hai
sine ke zaKHm numayan rahte chaak kiye sau parda-e-dar
muddat se ye raKHne paDe the chhati phaTi main ab si hai
pursish-e-haal kabhu karte hain naz-o-chashm-e-ishaarat se
un ki inayat haal pe mere kya puchho ho ghazab si hai
god mein meri rakh deta hai panw hinai dabne ko
yun pamal jo main hota hun mujh ko bhi to dab si hai
lutf kahan wo baat kiye par phul se jhaDne lag jawen
surKH kali bhi gul ki agarche yar ke lal-e-lab si hai
KHana-KHarab ho KHwahish-e-dil ka aah nihayat is ko nahin
jaan labon par aai hai par to bhi garm-e-talab si hai
tum kahte ho bosa-talab the shayad shoKHi karte hon
'mir' to chup taswir se the ye baat unhon se ajab si hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1254
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.