sumbul tumhaare gesuon ke gham mein luT gaya
sumbul tumhāre gesuoñ ke ġham meñ luT gayā
abrū kī teġh dekh mah-e-īd kaT gayā
aalam meñ jaañ ke mujh ko tanazzuh thā ab to maiñ
ālūdgī-e-jism se maaTī meñ aT gayā
zulm-o-jafā-o-jaur par isrār is qadar
haT dekh dekh terī dil apnā bhī haT gayā
ab vo samāñ nahīñ hai ki vo kām-e-jān-e-ḳhalq
maġhmūm ham ko dekh ke dauḌā lipaT gayā
dushvār siite haiñge jo be-Dhab phaTe hai jeb
be-tauriyoñ se us kī dil apnā to phaT gayā
dāmān-o-jeb donoñ hue TukḌe ek jā
ab ke ye kaam haath se mere simaT gayā
ḳhātir agar ho jam.a pareshānī bhī nibhe
so dil to do taraf tirī zulfoñ se baT gayā
Tuk raat us ke muñh se huā thā muqābla
phir māh-e-chār-dah ko jo dekhā to ghaT gayā
kyā pūchho ho nasīb hamāre ulaT ga.e
chal kar idhar ko yaar phir ūdhar ulaT gayā
bulbul kī aur gul kī jo sohbat kī sair 'mīr'
dil apnā dilbaroñ kī taraf se uchaT gayā
sumbul tumhaare gesuon ke gham mein luT gaya
abru ki tegh dekh mah-e-id kaT gaya
aalam mein jaan ke mujh ko tanazzuh tha ab to main
aaludgi-e-jism se maTi mein aT gaya
zulm-o-jafa-o-jaur par israr is qadar
haT dekh dekh teri dil apna bhi haT gaya
ab wo saman nahin hai ki wo kaam-e-jaan-e-KHalq
maghmum hum ko dekh ke dauDa lipaT gaya
dushwar site hainge jo be-Dhab phaTe hai jeb
be-tauriyon se us ki dil apna to phaT gaya
daman-o-jeb donon hue TukDe ek ja
ab ke ye kaam hath se mere simaT gaya
KHatir agar ho jama pareshani bhi nibhe
so dil to do taraf teri zulfon se baT gaya
Tuk raat us ke munh se hua tha muqabla
phir mah-e-chaar-dah ko jo dekha to ghaT gaya
kya puchho ho nasib hamare ulaT gae
chal kar idhar ko yar phir udhar ulaT gaya
bulbul ki aur gul ki jo sohbat ki sair 'mir'
dil apna dilbaron ki taraf se uchaT gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0743
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.