suna tumne jo guzra saneha hijran mein yaron par
sunā tum ne jo guzrā sāneha hijrāñ meñ yāroñ par
qayāmat ġham se har saa.at rahī ulfat ke māroñ par
kiyā hai ishq-e-ālam-kush ne kyā suthrāo logoñ kā
nikal chal shahr se bāhar nazar kar Tuk mazāroñ par
taḌap kar garm Tuk juuñ barq ThanDe hote jaate haiñ
basān-e-abr-e-rahmat ro bahut ham be-qarāroñ par
baḌī daulat hai darveshī jo ham-rah ho qanā.at ke
ki arsa tang hai hirs-o-havā se tājdāroñ par
siyāhat ḳhuub mujh ko yaad hai par kī bhī vahshat kī
par apnā paañv phaile dasht ke sar-tez ḳhāroñ par
ga.e farhād-o-majnūñ ho koī to baat bhī pūchheñ
yakāyak kyā balā aa.ī hamāre ġham-gusāroñ par
ga.ī is nā-tavān-e-ishq ke aage se piirī Tal
subuk-rūhī mirī ai 'mīr' bhārī hai hazāroñ par
suna tum ne jo guzra saneha hijran mein yaron par
qayamat gham se har saat rahi ulfat ke maron par
kiya hai ishq-e-alam-kush ne kya suthrao logon ka
nikal chal shahr se bahar nazar kar Tuk mazaron par
taDap kar garm Tuk jun barq ThanDe hote jate hain
basan-e-abr-e-rahmat ro bahut hum be-qararon par
baDi daulat hai darweshi jo ham-rah ho qanaat ke
ki arsa tang hai hirs-o-hawa se tajdaron par
siyahat KHub mujh ko yaad hai par ki bhi wahshat ki
par apna panw phaile dasht ke sar-tez KHaron par
gae farhad-o-majnun ho koi to baat bhi puchhen
yakayak kya bala aai hamare gham-gusaron par
gai is na-tawan-e-ishq ke aage se piri Tal
subuk-ruhi meri ai 'mir' bhaari hai hazaron par
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1616
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.