tabut mera der uTha uski gali se
tābūt mirā der uThā us kī galī se
isbāt huā jurm-e-mohabbat kā isī se
tum chheḌte ho bazm meñ mujh ko to hañsī se
par mujh pe jo ho jaa.e hai pūchho mire jī se
ātish-ba-jigar us dur-e-nāyāb se sab haiñ
dariyā bhī nazar aa.e usī ḳhushk-labī se
gar Thahre malak aage unhoñ ke to ajab hai
phirte haiñ paḌe dillī ke lauñDe jo parī se
niklā jo koī vaañ se to phir mar hī ke niklā
us kūche se jaate hue dekhā kise jī se
hamsā.e mujhe raat ko royā hī kare haiñ
sote nahīñ bechāre mirī nāla-kashī se
tum ne to idhar dekhne kī khaa.ī hai saugand
ab ham bhī laḌā baiThte haiñ aañkh kisī se
chhātī kahīñ phaT jaa.e ki Tuk dil bhī havā khaa.e
ab dam to lage rukne hamārī ḳhafagī se
us shoḳh kā tamkīn se aanā hai qayāmat
uktāne lage ham-nafasāñ tum to abhī se
nālāñ mujhe dekhe haiñ butāñ tis pe haiñ ḳhāmosh
fariyād hai is qaum kī fariyād-rasī se
taalū se zabāñ raat ko mutlaq nahīñ lagtī
aalam hai siyah-ḳhāna mirī nauhagarī se
be-rahm vo tujh paas lagā baiThne jab der
ham 'mīr' se dil apne uThā.e the tabhī se
tabut mera der uTha us ki gali se
isbaat hua jurm-e-mohabbat ka isi se
tum chheDte ho bazm mein mujh ko to hansi se
par mujh pe jo ho jae hai puchho mere ji se
aatish-ba-jigar us dur-e-nayab se sab hain
dariya bhi nazar aae usi KHushk-labi se
gar Thahre malak aage unhon ke to ajab hai
phirte hain paDe dilli ke launDe jo pari se
nikla jo koi wan se to phir mar hi ke nikla
us kuche se jate hue dekha kise ji se
hamsae mujhe raat ko roya hi kare hain
sote nahin bechaare meri nala-kashi se
tum ne to idhar dekhne ki khai hai saugand
ab hum bhi laDa baiThte hain aankh kisi se
chhati kahin phaT jae ki Tuk dil bhi hawa khae
ab dam to lage rukne hamari KHafagi se
us shoKH ka tamkin se aana hai qayamat
uktane lage ham-nafasan tum to abhi se
nalan mujhe dekhe hain butan tis pe hain KHamosh
fariyaad hai is qaum ki fariyaad-rasi se
talu se zaban raat ko mutlaq nahin lagti
aalam hai siyah-KHana meri nauhagari se
be-rahm wo tujh pas laga baiThne jab der
hum 'mir' se dil apne uThae the tabhi se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.