taklif-e-bagh kin ne ki tujh KHush-dahan ke tin
taklīf-e-bāġh kin ne kī tujh ḳhush-dahāñ ke tiiñ
detā hai aag rang tirā gulsitāñ ke tiiñ
tinkā bhī ab rahā nahīñ sharmindagī hai jo
gir paḌ ke barq paave mire āshiyāñ ke tiiñ
aa.e adam se hastī meñ tis par nahīñ qarār
hai in musāfiroñ kā irāda kahāñ ke tiiñ
sanñāhaTe se baaġh se kuchh uThte haiñ nasīm
murġh-e-chaman ne ḳhuub mathā hai fuġhāñ ke tiiñ
be-rahm Tuk to paañv tū chhātī pe rakkhe rah
maarā bhī hai kabhī tiiñ kisī ḳhasta-jāñ ke tiiñ
ik gardish ai falak ki ho asnā-e-rāh se
kan.āñ kī or rāh-e-ġhalat kārvāñ ke tiiñ
tū ik zabāñ pe chipkī nahīñ rahtī andalīb
rakhtā hai muñh meñ ġhuncha-e-gul sau zabāñ ke tiiñ
dekhe kahāñ haiñ zulf tirī mardumān-e-shahr
saudā huā hai kahne lage us javāñ ke tiiñ
ham to hue the 'mīr' se us din hī nā-umīd
jis din sunā ki un ne diyā dil butāñ ke tiiñ
taklif-e-bagh kin ne ki tujh KHush-dahan ke tin
deta hai aag rang tera gulsitan ke tin
tinka bhi ab raha nahin sharmindagi hai jo
gir paD ke barq pawe mere aashiyan ke tin
aae adam se hasti mein tis par nahin qarar
hai in musafiron ka irada kahan ke tin
sannahaTe se bagh se kuchh uThte hain nasim
murgh-e-chaman ne KHub matha hai fughan ke tin
be-rahm Tuk to panw tu chhati pe rakkhe rah
mara bhi hai kabhi tin kisi KHasta-jaan ke tin
ek gardish ai falak ki ho asna-e-rah se
kanan ki or rah-e-ghalat karwan ke tin
tu ek zaban pe chipki nahin rahti andalib
rakhta hai munh mein ghuncha-e-gul sau zaban ke tin
dekhe kahan hain zulf teri marduman-e-shahr
sauda hua hai kahne lage us jawan ke tin
hum to hue the 'mir' se us din hi na-umid
jis din suna ki un ne diya dil butan ke tin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0358
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.