tapish se raat ki jun tun ke ji sanbhaala hai
tapish se raat kī juuñ tuuñ ke jī sañbhālā hai
nahīñ hai dil koī dushman baġhal meñ paalā hai
hinā se yaar kā panja nahīñ hai gul ke rang
hamāre un ne kalejoñ meñ haath Daalā hai
gayā hai pesh le e.ajāz-e-ishq se farhād
vagarna ḳhas ne kahīñ bhī pahāḌ Taalā hai
sunā hai girya-e-ḳhūnīñ pa ye nahīñ dekhā
lahū kā har ghaḌī āñkhoñ ke aage naala hai
rahe ḳhayāl na kyoñ aise māh-tal.at kā
andhere ghar kā hamāre vahī ujālā hai
diloñ ko kahte haiñ hotī hai raah aapas meñ
tarīq-e-ishq bhī aalam se kuchh nirālā hai
hazār baar ghaḌī bhar meñ 'mīr' marte haiñ
unhoñ ne zindagī kā Dhab nayā nikālā hai
tapish se raat ki jun tun ke ji sanbhaala hai
nahin hai dil koi dushman baghal mein pala hai
hina se yar ka panja nahin hai gul ke rang
hamare un ne kalejon mein hath Dala hai
gaya hai pesh le eajaz-e-ishq se farhad
wagarna KHas ne kahin bhi pahaD Tala hai
suna hai girya-e-KHunin pa ye nahin dekha
lahu ka har ghaDi aankhon ke aage nala hai
rahe KHayal na kyon aise mah-talat ka
andhere ghar ka hamare wahi ujala hai
dilon ko kahte hain hoti hai rah aapas mein
tariq-e-ishq bhi aalam se kuchh nirala hai
hazar bar ghaDi bhar mein 'mir' marte hain
unhon ne zindagi ka Dhab naya nikala hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1025
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.