tariq-e-ishq mein hai rahnuma dil
tarīq-e-ishq meñ hai rahnumā dil
payambar dil hai qibla dil ḳhudā dil
qayāmat thā muravvat-āshnā dil
mue par bhī mirā us meñ rahā dil
rukā itnā ḳhafā itnā huā thā
ki āḳhir ḳhuun ho ho kar bahā dil
jise maarā use phir kar na dekhā
hamārā turfa zālim se lagā dil
na thī sahl istaqāmat is kī lekin
ḳhirām-e-nāz-e-dilbar le gayā dil
badan meñ us ke thī har jaa.e dilkash
bajā bejā huā hai jā-ba-jā dil
ga.e vahshat se bāġh-o-rāġh meñ the
kahīñ Thahrā na duniyā se uThā dil
asīrī meñ to kuchh vāshud kabhū thī
rahā ġhamgīñ huā jab se rihā dil
hama-tan meñ alam thā so na jaanā
girah ye dard hai pahlū meñ yā dil
ḳhamoshī mujh ko hairat se hai varna
bhare haiñ lab se le kar shikve tā-dil
na pūchhā un se jis bin ḳhuuñ huā sab
na samjhā us ke kiine kī adā dil
huā pazhmurda-o-be-sabr-o-be-tāb
karegā is tarah kab tak vafā dil
huī parvā na vaañ dilbar ko yaañ 'mīr'
uThā kar ho chukā jaur-o-jafā dil
tariq-e-ishq mein hai rahnuma dil
payambar dil hai qibla dil KHuda dil
qayamat tha murawwat-ashna dil
mue par bhi mera us mein raha dil
ruka itna KHafa itna hua tha
ki aaKHir KHun ho ho kar baha dil
jise mara use phir kar na dekha
hamara turfa zalim se laga dil
na thi sahl istaqamat is ki lekin
KHiram-e-naz-e-dilbar le gaya dil
badan mein us ke thi har jae dilkash
baja beja hua hai ja-ba-ja dil
gae wahshat se bagh-o-ragh mein the
kahin Thahra na duniya se uTha dil
asiri mein to kuchh washud kabhu thi
raha ghamgin hua jab se riha dil
hama-tan mein alam tha so na jaana
girah ye dard hai pahlu mein ya dil
KHamoshi mujh ko hairat se hai warna
bhare hain lab se le kar shikwe ta-dil
na puchha un se jis bin KHun hua sab
na samjha us ke kine ki ada dil
hua pazhmurda-o-be-sabr-o-be-tab
karega is tarah kab tak wafa dil
hui parwa na wan dilbar ko yan 'mir'
uTha kar ho chuka jaur-o-jafa dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1836
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.