tariq KHub hai aapas mein aashnai ka
tarīq ḳhuub hai aapas meñ āshnā.ī kā
na pesh aave agar marhala judā.ī kā
huā hai kunj-e-qafas hī kī be-parī meñ ḳhuub
ki par ke saal talak lutf thā rihā.ī kā
yahīñ haiñ dair-o-haram ab to ye haqīqat hai
dimāġh kis ko hai har dar kī jab.ha-sā.ī kā
na pūchh mehñdī lagāne kī ḳhūbiyāñ apnī
jigar hai ḳhasta tire panja-e-hinā.ī kā
nahīñ jahān meñ kis tarf guftugū dil se
ye ek qatra-e-ḳhūñ hai taraf ḳhudā.ī kā
kisū pahāḌ meñ juuñ kohkan sar ab māreñ
ḳhayāl ham ko bhī hai baḳht-āzmā.ī kā
bajā rahā na dil-e-shaiḳh shor-e-mahshar se
jigar bhī chāhe hai kuchh thāmnā avaa.ī kā
rakhā hai baaz hameñ dar-ba-dar ke phirne se
saroñ pe apne hai ehsāñ shikasta-pā.ī kā
milā kahīñ to dikhā deñge ishq kā jangal
bahut hī ḳhizr ko ġharra hai rahnumā.ī kā
na uns mujh se huā us ko maiñ hazār kahā
jigar meñ daaġh hai us gul kī be-vafā.ī kā
jahāñ se 'mīr' hī ke saath jaanā thā lekin
koī sharīk nahīñ hai kisū kī aa.ī kā
tariq KHub hai aapas mein aashnai ka
na pesh aawe agar marhala judai ka
hua hai kunj-e-qafas hi ki be-pari mein KHub
ki par ke sal talak lutf tha rihai ka
yahin hain dair-o-haram ab to ye haqiqat hai
dimagh kis ko hai har dar ki jabha-sai ka
na puchh mehndi lagane ki KHubiyan apni
jigar hai KHasta tere panja-e-hinai ka
nahin jahan mein kis tarf guftugu dil se
ye ek qatra-e-KHun hai taraf KHudai ka
kisu pahaD mein jun kohkan sar ab maren
KHayal hum ko bhi hai baKHt-azmai ka
baja raha na dil-e-shaiKH shor-e-mahshar se
jigar bhi chahe hai kuchh thamna awai ka
rakha hai baz hamein dar-ba-dar ke phirne se
saron pe apne hai ehsan shikasta-pai ka
mila kahin to dikha denge ishq ka jangal
bahut hi KHizr ko gharra hai rahnumai ka
na uns mujh se hua us ko main hazar kaha
jigar mein dagh hai us gul ki be-wafai ka
jahan se 'mir' hi ke sath jaana tha lekin
koi sharik nahin hai kisu ki aai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.