TeDhi nigahen kiya karte ho dam bhar ke yan aane par
TeḌhī nigāheñ kiyā karte ho dam bhar ke yaañ aane par
īdhar dekho ham ne nahīñ kī ḳham abrū mar jaane par
zor havā hai chal suufī Tuk tū bhī rabāt-e-kohna se
abr-e-qibla baḌhtā baḌhtā aaya hai maiḳhāne par
gul khaa.e be-tah bulbul ne shor qayāmat kā sā kiyā
dekh chaman meñ us bin mere chupke jī bahlāne par
sar nīche kar letā thā talvār chalāte ham par ve
riijh ga.e ḳhūñ-rezī meñ apnī us ke phir sharmāne par
gaalī maar ke ġham par maiñ ne sabr kiyā ḳhāmosh rahā
rahm na aaya Tuk zālim ko is mere ġham khāne par
nādīda haiñ nām-e-ḳhudā ke aise jaise qaht-zada
dauḌtī haiñ kyā āñkheñ apnī sub.he ke daane daane par
hāl-e-pareshāñ sun majnūñ kā kyā jaltā hai jī apnā
āshiq ham bhī 'mīr' rahe haiñ is Dhab ke dīvāne par
TeDhi nigahen kiya karte ho dam bhar ke yan aane par
idhar dekho hum ne nahin ki KHam abru mar jaane par
zor hawa hai chal sufi Tuk tu bhi rabaat-e-kohna se
abr-e-qibla baDhta baDhta aaya hai maiKHane par
gul khae be-tah bulbul ne shor qayamat ka sa kiya
dekh chaman mein us bin mere chupke ji bahlane par
sar niche kar leta tha talwar chalate hum par we
rijh gae KHun-rezi mein apni us ke phir sharmane par
gali mar ke gham par main ne sabr kiya KHamosh raha
rahm na aaya Tuk zalim ko is mere gham khane par
nadida hain nam-e-KHuda ke aise jaise qaht-zada
dauDti hain kya aankhen apni subhe ke dane dane par
haal-e-pareshan sun majnun ka kya jalta hai ji apna
aashiq hum bhi 'mir' rahe hain is Dhab ke diwane par
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1612
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.