Thokar laga ke chalna us rashk-e-mah ko bhi
Thokar lagā ke chalnā us rashk-e-māh ko bhī
ye choT hī rahī hai us rū-siyāh ko bhī
us shāh-e-husn kī kuchh mizhgāñ phirī huī haiñ
ġhamze ne varġhalāyā shāyad sipāh ko bhī
kī umr sarf saarī par gum hai matlab apnā
manzil na pahuñche ham to tai kar ke raah ko bhī
sar phoḌnā hamārā us laḌke par na dekho
Tuk dekho is shikast-e-tarf-e-kulāh ko bhī
kartī nahīñ ḳhalish hī mizhgān-e-yār dil meñ
kāvish rahī hai jī se us kī nigāh ko bhī
ḳhūñ-rezī ke to laagū hote nahīñ yakāyak
pahle to pūchhte haiñ zālim gunāh ko bhī
juuñ ḳhaak se hai yaksāñ merā nihāl-qāmat
pāmāl yuuñ na hote dekhā gayāh ko bhī
har lahza pher lenā āñkhoñ kā ham se kyā hai
manzūr rakhiye kuchh to baare nibāh ko bhī
ḳhvāhish bahut jo ho to kāhish hai jān-o-dil kī
kuchh kam kar in dinoñ meñ ai 'mīr' chaah ko bhī
Thokar laga ke chalna us rashk-e-mah ko bhi
ye choT hi rahi hai us ru-siyah ko bhi
us shah-e-husn ki kuchh mizhgan phiri hui hain
ghamze ne warghalaya shayad sipah ko bhi
ki umr sarf sari par gum hai matlab apna
manzil na pahunche hum to tai kar ke rah ko bhi
sar phoDna hamara us laDke par na dekho
Tuk dekho is shikast-e-tarf-e-kulah ko bhi
karti nahin KHalish hi mizhgan-e-yar dil mein
kawish rahi hai ji se us ki nigah ko bhi
KHun-rezi ke to lagu hote nahin yakayak
pahle to puchhte hain zalim gunah ko bhi
jun KHak se hai yaksan mera nihaal-qamat
pamal yun na hote dekha gayah ko bhi
har lahza pher lena aankhon ka hum se kya hai
manzur rakhiye kuchh to bare nibah ko bhi
KHwahish bahut jo ho to kahish hai jaan-o-dil ki
kuchh kam kar in dinon mein ai 'mir' chah ko bhi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1291
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.