tujh kane baiThe ghuTa jata hai ji
tujh kane baiThe ghuTā jaatā hai jī
kāhisheñ kyā kyā uThā jaatā hai jī
yuuñ to murde se paḌe rahte haiñ ham
par vo aatā hai to aa jaatā hai jī
haa.e us ke sharbatī lab se judā
kuchh batāshā sā ghulā jaatā hai jī
ab ke us kī raah meñ jo ho so ho
yā dab hī aatā hai yā jaatā hai jī
kyā kaheñ tum se ki us sho.ale baġhair
jī hamārā kuchh jalā jaatā hai jī
ishq aadam meñ nahīñ kuchh chhoḌtā
haule haule koī khā jaatā hai jī
uTh chale par us ke ġhash karte haiñ ham
ya.anī saath us ke chalā jaatā hai jī
aa nahīñ phirtā vo marte vaqt bhī
haif hai us meñ rahā jaatā hai jī
rakhte the kyā kyā binā.eñ peshtar
so to ab aaphī Dhahā jaatā hai jī
āsmāñ shāyad vare kuchh aa gayā
raat se kyā kyā rukā jaatā hai jī
kāshke burqā rahe us ruḳh pe 'mīr'
muñh khule us ke chhupā jaatā hai jī
tujh kane baiThe ghuTa jata hai ji
kahishen kya kya uTha jata hai ji
yun to murde se paDe rahte hain hum
par wo aata hai to aa jata hai ji
hae us ke sharbati lab se juda
kuchh batasha sa ghula jata hai ji
ab ke us ki rah mein jo ho so ho
ya dab hi aata hai ya jata hai ji
kya kahen tum se ki us shoale baghair
ji hamara kuchh jala jata hai ji
ishq aadam mein nahin kuchh chhoDta
haule haule koi kha jata hai ji
uTh chale par us ke ghash karte hain hum
yani sath us ke chala jata hai ji
aa nahin phirta wo marte waqt bhi
haif hai us mein raha jata hai ji
rakhte the kya kya binaen peshtar
so to ab aaphi Dhaha jata hai ji
aasman shayad ware kuchh aa gaya
raat se kya kya ruka jata hai ji
kashke burqa rahe us ruKH pe 'mir'
munh khule us ke chhupa jata hai ji
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0962
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.