Tuk lutf se mila kar go phir kabhu kabhu ho
Tuk lutf se milā kar go phir kabhū kabhū ho
so tab talak ki mujh ko hijrāñ se tere ḳhū ho
kyā kyā javān ham ne duniyā se jaate dekhe
ai ishq-e-be-muhābā duniyā ho aur tū ho
aise kahoge kuchh to ham chupke ho raheñge
har baat par kahāñ tak aapas meñ guftugū ho
kyā hai javāb zālim pursish ke roz kahiyo
jo rū-siyāh ye bhī vaañ aa ke rū-ba-rū ho
qaaf
pur-ḳhūñ hamāre dil se kitnī hai tū mushābah
shāyad kalī tujhe bhī us gul kī aarzū ho
ḳhat us ke pusht-e-lab kā sākit karegā tujh ko
kahiyo agar tafāvut is meñ ba-qadr-e-mū ho
khole the baal kin ne hangām-e-sub.h apne
aa.ī hai ai sabā tū aisī jo mushk-bū ho
darveshī se bhī apnī nikle hai mīrzā.ī
naqsh-e-hasīr tan par aise haiñ juuñ utū ho
mat iltiyām chāhe phir dil-shikastagāñ se
mumkin nahīñ ki shīsha TuuTā huā rafū ho
kahte ho kāñptā huuñ juuñ bed āshiqī se
tum bhī to 'mīr' sāhib kitne ḳhilāf-go ho
Tuk lutf se mila kar go phir kabhu kabhu ho
so tab talak ki mujh ko hijran se tere KHu ho
kya kya jawan hum ne duniya se jate dekhe
ai ishq-e-be-muhaba duniya ho aur tu ho
aise kahoge kuchh to hum chupke ho rahenge
har baat par kahan tak aapas mein guftugu ho
kya hai jawab zalim pursish ke roz kahiyo
jo ru-siyah ye bhi wan aa ke ru-ba-ru ho
qaf
pur-KHun hamare dil se kitni hai tu mushabah
shayad kali tujhe bhi us gul ki aarzu ho
KHat us ke pusht-e-lab ka sakit karega tujh ko
kahiyo agar tafawut is mein ba-qadr-e-mu ho
khole the baal kin ne hangam-e-subh apne
aai hai ai saba tu aisi jo mushk-bu ho
darweshi se bhi apni nikle hai mirzai
naqsh-e-hasir tan par aise hain jun utu ho
mat iltiyam chahe phir dil-shikastagan se
mumkin nahin ki shisha TuTa hua rafu ho
kahte ho kanpta hun jun bed aashiqi se
tum bhi to 'mir' sahib kitne KHilaf-go ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0920
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.