Tuk Thaharne de tujhe shoKHi to kuchh Thahraiye
Tuk Thaharne de tujhe shoḳhī to kuchh Thahrā.iye
paikar-e-nāzuk ko tere kyūñke bar meñ lā.iye
sākin-e-dair-o-haram donoñ talāshī haiñ tire
tū ḳhudā jaane kahāñ hai kyūñke tujh ko pā.iye
duur hī se hosh kho detī hai us kī bū-e-ḳhush
aap meñ rahiye to us ke paas bhī Tuk jā.iye
in dinoñ rang aur kuchh hai is dil-e-pur-ḳhūn kā
haq meñ mere aap hī kuchh soch kar farmā.iye
jī hī khap jaatā hai tanz-āmez aise lutf se
hañs ke jab kahtā hai sab meñ aa.iye jī aa.iye
dil ke vīrāñ karne meñ bedād kī hai tū ne haa.e
ḳhush-imārat aise ghar ko is tarah se Dhā.iye
rāt-din ruḳhsār us ke chit chaḌhe rahte haiñ 'mīr'
āftāb-o-māh se dil kab talak bahlā.iye
Tuk Thaharne de tujhe shoKHi to kuchh Thahraiye
paikar-e-nazuk ko tere kyunke bar mein laiye
sakin-e-dair-o-haram donon talashi hain tere
tu KHuda jaane kahan hai kyunke tujh ko paiye
dur hi se hosh kho deti hai us ki bu-e-KHush
aap mein rahiye to us ke pas bhi Tuk jaiye
in dinon rang aur kuchh hai is dil-e-pur-KHun ka
haq mein mere aap hi kuchh soch kar farmaiye
ji hi khap jata hai tanz-amez aise lutf se
hans ke jab kahta hai sab mein aaiye ji aaiye
dil ke viran karne mein bedad ki hai tu ne hae
KHush-imarat aise ghar ko is tarah se Dhaiye
raat-din ruKHsar us ke chit chaDhe rahte hain 'mir'
aaftab-o-mah se dil kab talak bahlaiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.