tu wo nahin kisu ka tah-e-dil se yar ho
tū vo nahīñ kisū kā tah-e-dil se yaar ho
yā tujh ko dil-shikastoñ se iḳhlās-pyār ho
kyā fikr meñ ho apnī tarahdārī hī kī tum
ham dard-mand logoñ ke bīmār-dār ho
masrūf-e-ehtiyāt rahā karte rāt-din
dene meñ dil ke apnā jo kuchh iḳhtiyār ho
dil meñ kadar se āñdhī sī uThne lagī hai ab
nikle gile kī raah to raf.a-e-ġhubār ho
khā zahr mar raheñ kahīñ kyā zindagī hai ye
zulfeñ tanik chhueñ to hameñ maar maar ho
ai āhuvān-e-ka.aba na aiñDo haram ke gird
khaao kisū kī teġh kisū ke shikār ho
muñh se lagī gulābī huā kuchh shagufta tū
thoḌī sharāb aur bhī pī jo bahār ho
bahtī hai tez jadval-e-teġh-e-jafā-e-yār
ya.anī ki ik hī vaar lage kaam paar ho
chhaḌiyoñ se kar qarār madār us ko lā.iye
jo 'mīr' phir laḌā na kareñ be-qarār ho
tu wo nahin kisu ka tah-e-dil se yar ho
ya tujh ko dil-shikaston se iKHlas-pyar ho
kya fikr mein ho apni tarahdari hi ki tum
hum dard-mand logon ke bimar-dar ho
masruf-e-ehtiyat raha karte raat-din
dene mein dil ke apna jo kuchh iKHtiyar ho
dil mein kadar se aandhi si uThne lagi hai ab
nikle gile ki rah to rafa-e-ghubar ho
kha zahr mar rahen kahin kya zindagi hai ye
zulfen tanik chhuen to hamein mar mar ho
ai aahuwan-e-kaba na ainDo haram ke gird
khao kisu ki tegh kisu ke shikar ho
munh se lagi gulabi hua kuchh shagufta tu
thoDi sharab aur bhi pi jo bahaar ho
bahti hai tez jadwal-e-tegh-e-jafa-e-yar
yani ki ek hi war lage kaam par ho
chhaDiyon se kar qarar madar us ko laiye
jo 'mir' phir laDa na karen be-qarar ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1471
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.