us kaam-e-jaan-o-dil se jo koi juda hua
us kām-e-jān-o-dil se jo koī judā huā
dekhā phir us ko ḳhaak meñ ham ne milā huā
kar tark garche baiThe haiñ par hai vahī talāsh
rahtā nahīñ hai haath hamārā uThā huā
khīñchā baġhal meñ maiñ jo use mast pā ke raat
kahne lagā ki aap ko bhī ab nasha huā
nai sabr hai na hosh hai nai aql hai na diin
aatā hai us ke paas se āshiq luTā huā
uThtā hai mere dil se kabhū josh sā to phir
jaatā hai donoñ āñkhoñ se dariyā bahā huā
juuñ said-e-nīm-kushta taḌaptā hai ek sā
kyā jāniye ki dil ko mire kyā balā huā
ḳhat aa.e par jo garm vo parkār mil chalā
maiñ sādgī se jaanā ki ab āshnā huā
ham to lage kināre hue ġhair ham-kanār
ekoñ kī iid ekoñ ke ghar meñ dahā huā
juuñ barq mujh ko hañste na dekhā kisū ne aah
paayā to abr sā kahīñ rotā khaḌā huā
jis sher par samā.a thā kal ḳhānqāh meñ
vo aaj maiñ sunā to hai merā kahā huā
paayā mujhe raqīb ne aa us kī zer-e-teġh
dil-ḳhvāh baare mudda.ī kā mudda.ā huā
bīmār marg sā to nahīñ roz ab batar
dekhā thā ham ne 'mīr' ko kuchh to bhalā huā
us kaam-e-jaan-o-dil se jo koi juda hua
dekha phir us ko KHak mein hum ne mila hua
kar tark garche baiThe hain par hai wahi talash
rahta nahin hai hath hamara uTha hua
khincha baghal mein main jo use mast pa ke raat
kahne laga ki aap ko bhi ab nasha hua
nai sabr hai na hosh hai nai aql hai na din
aata hai us ke pas se aashiq luTa hua
uThta hai mere dil se kabhu josh sa to phir
jata hai donon aankhon se dariya baha hua
jun said-e-nim-kushta taDapta hai ek sa
kya jaaniye ki dil ko mere kya bala hua
KHat aae par jo garm wo parkar mil chala
main sadgi se jaana ki ab aashna hua
hum to lage kinare hue ghair ham-kanar
ekon ki id ekon ke ghar mein daha hua
jun barq mujh ko hanste na dekha kisu ne aah
paya to abr sa kahin rota khaDa hua
jis sher par samaa tha kal KHanqah mein
wo aaj main suna to hai mera kaha hua
paya mujhe raqib ne aa us ki zer-e-tegh
dil-KHwah bare muddai ka muddaa hua
bimar marg sa to nahin roz ab batar
dekha tha hum ne 'mir' ko kuchh to bhala hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0692
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.