uski duri mein kuDha karte hain hum had se ziyaad
us kī duurī meñ kuḌhā karte haiñ ham had se ziyād
jī gayā āḳhir rahā dil ko jo ġham had se ziyād
chhātī phaT jaatī jo yuuñ ruk kar na kartā tark-e-chashm
guzre us ke ishq meñ jī par sitam had se ziyād
ḳhauf kar āshiq ke sar kaTne kī qata.ī hai dalīl
ho jahāñ shamshīr-e-abrū us kī ḳham had se ziyād
kuchh bhī nazdīk us ke Thahrā ho to dekhe bhar nazar
qadr hai āshiq kī un āñkhoñ meñ kam had se ziyād
paas us ke dam-ba-ḳhud pahroñ the so tāqat kahāñ
baat kahte 'mīr' ab karte haiñ dam had se ziyād
us ki duri mein kuDha karte hain hum had se ziyaad
ji gaya aaKHir raha dil ko jo gham had se ziyaad
chhati phaT jati jo yun ruk kar na karta tark-e-chashm
guzre us ke ishq mein ji par sitam had se ziyaad
KHauf kar aashiq ke sar kaTne ki qatai hai dalil
ho jahan shamshir-e-abru us ki KHam had se ziyaad
kuchh bhi nazdik us ke Thahra ho to dekhe bhar nazar
qadr hai aashiq ki un aankhon mein kam had se ziyaad
pas us ke dam-ba-KHud pahron the so taqat kahan
baat kahte 'mir' ab karte hain dam had se ziyaad
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1382
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.