us shoKH se hamein bhi ab yari ho gai hai
us shoḳh se hameñ bhī ab yaarī ho ga.ī hai
sharm añkhḌiyoñ meñ jis kī ayyārī ho ga.ī hai
rotā phirā huuñ barsoñ lohū chaman chaman meñ
kūche meñ us ke yaksar gul-kārī ho ga.ī hai
yakjā aTak ke rahnā hai nā-tamāmī varna
sab meñ vahī haqīqat yaañ saarī ho ga.ī hai
jab ḳhaak ke barābar ham ko kiyā falak ne
tab.a-e-ḳhashin meñ tab kuchh hamvārī ho ga.ī hai
mutlaq asar na dekhā muddat kī āh-o-zārī
ab nāla-o-fuġhāñ se be-zārī ho ga.ī hai
us se do-chār honā aatā nahīñ mayassar
marne meñ is se ham ko nā-chārī ho ga.ī hai
har baar zikr-e-mahshar kyā yaar ke dar uupar
aisī to yaañ qayāmat sau-bārī ho ga.ī hai
andāz-e-shoḳhī us ke aate nahīñ samajh meñ
kuchh apnī bhī tabī.at yaañ aarī ho ga.ī hai
shāhī se kam nahīñ hai darveshī apne haañ to
ab aib kuchh jahāñ meñ nādārī ho ga.ī hai
ham ko to dard-e-dil hai tum zard kyoñ ho aise
kyā 'mīr' jī tumheñ kuchh bīmārī ho ga.ī hai
us shoKH se hamein bhi ab yari ho gai hai
sharm ankhDiyon mein jis ki ayyari ho gai hai
rota phira hun barson lohu chaman chaman mein
kuche mein us ke yaksar gul-kari ho gai hai
yakja aTak ke rahna hai na-tamami warna
sab mein wahi haqiqat yan sari ho gai hai
jab KHak ke barabar hum ko kiya falak ne
taba-e-KHashin mein tab kuchh hamwari ho gai hai
mutlaq asar na dekha muddat ki aah-o-zari
ab nala-o-fughan se be-zari ho gai hai
us se do-chaar hona aata nahin mayassar
marne mein is se hum ko na-chaari ho gai hai
har bar zikr-e-mahshar kya yar ke dar upar
aisi to yan qayamat sau-bari ho gai hai
andaz-e-shoKHi us ke aate nahin samajh mein
kuchh apni bhi tabiat yan aari ho gai hai
shahi se kam nahin hai darweshi apne han to
ab aib kuchh jahan mein nadari ho gai hai
hum ko to dard-e-dil hai tum zard kyon ho aise
kya 'mir' ji tumhein kuchh bimari ho gai hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1048
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.