us shoKH sitamgar ko kya koi bhala chahe
us shoḳh sitamgar ko kyā koī bhalā chāhe
jo chāhne vaale kā har taur burā chāhe
ka.abe ga.e kyā koī maqsad ko pahuñchtā hai
kyā sa.ī se hotā hai jab tak na ḳhudā chāhe
sau rang kī jab ḳhūbī paate ho isī gul meñ
phir us se koī is bin kuchh chāhe to kyā chāhe
ham ijz se pahuñche haiñ maqsūd kī manzil ko
gah ḳhaak meñ mil jaave jo us se milā chāhe
ho saktī haiñ sadd-e-rah palkeñ kahīñ rone kī
tinkoñ se ruke hai kab dariyā jo bahā chāhe
jab tū ne zabāñ chhoḌī tab kaahe kā sarfa hai
be-sarfa kahe kyoñ na jo kuchh ki kahā chāhe
dil jaave hai juuñ ro ke shabnam ne kahā gul se
ab ham to chale yaañ se rah tū jo rahā chāhe
ḳhat rasm-e-zamāna thī ham ne bhī likhā us ko
tā dil kī likhe kyūñkar āshiq jo likhā chāhe
rang-e-gul o bū-e-gul hote haiñ havā donoñ
kyā qāfila jaatā hai jo tū bhī chalā chāhe
ham 'mīr' tirā marnā kyā chāhte the lekin
rahtā hai hue bin kab jo kuchh ki huā chāhe
us shoKH sitamgar ko kya koi bhala chahe
jo chahne wale ka har taur bura chahe
kabe gae kya koi maqsad ko pahunchta hai
kya sai se hota hai jab tak na KHuda chahe
sau rang ki jab KHubi pate ho isi gul mein
phir us se koi is bin kuchh chahe to kya chahe
hum ijz se pahunche hain maqsud ki manzil ko
gah KHak mein mil jawe jo us se mila chahe
ho sakti hain sadd-e-rah palken kahin rone ki
tinkon se ruke hai kab dariya jo baha chahe
jab tu ne zaban chhoDi tab kahe ka sarfa hai
be-sarfa kahe kyon na jo kuchh ki kaha chahe
dil jawe hai jun ro ke shabnam ne kaha gul se
ab hum to chale yan se rah tu jo raha chahe
KHat rasm-e-zamana thi hum ne bhi likha us ko
ta dil ki likhe kyunkar aashiq jo likha chahe
rang-e-gul o bu-e-gul hote hain hawa donon
kya qafila jata hai jo tu bhi chala chahe
hum 'mir' tera marna kya chahte the lekin
rahta hai hue bin kab jo kuchh ki hua chahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.