us suKHan-ras se agar shab ki mulaqat rahe
us suḳhan-ras se agar shab kī mulāqāt rahe
baat rah jaa.e na ye din raheñ nai raat rahe
faḳhr se ham to kulāh apnī falak par pheñkeñ
us ke sag se jo mulāqāt musāvāt rahe
muġhbache le ga.e sajjāda-o-ammāma uchak
shaiḳh kī mai-kade meñ kyūñke karāmāt rahe
dhajjiyāñ jaame kī kar dūñgā junūñ meñ ab ke
gar garebāñ-darī kā kaam mire haath rahe
ḳhaak kā putlā hai aadam jo koī achchhī kahe
ālam-e-ḳhāk meñ barsoñ ta.iiñ vo baat rahe
baat vaa.iz kī muassir ho diloñ meñ kyūñkar
din ko tāmāt rahe shab ko munājāt rahe
tang huuñ 'mīr' jī be-tāqatī-e-dil se bahut
kyūñke ye haath tale qibla-e-hājāt rahe
us suKHan-ras se agar shab ki mulaqat rahe
baat rah jae na ye din rahen nai raat rahe
faKHr se hum to kulah apni falak par phenken
us ke sag se jo mulaqat musawat rahe
mughbache le gae sajjada-o-ammama uchak
shaiKH ki mai-kade mein kyunke karamat rahe
dhajjiyan jame ki kar dunga junun mein ab ke
gar gareban-dari ka kaam mere hath rahe
KHak ka putla hai aadam jo koi achchhi kahe
aalam-e-KHak mein barson tain wo baat rahe
baat waiz ki muassir ho dilon mein kyunkar
din ko tamat rahe shab ko munajat rahe
tang hun 'mir' ji be-taqati-e-dil se bahut
kyunke ye hath tale qibla-e-hajat rahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1907
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.