wo dil nahin raha hai tab jo uThaega
vo dil nahīñ rahā hai ta.ab jo uThā.egā
yā lohū ashk-e-ḳhūnī se muñh par bahā.egā
ab ye nazar paḌe hai ki bargashta vo mizha
kāvish karegī Tuk bhī to sañbhlā na jā.egā
khīñchā jo maiñ vo sā.ad-e-sīmīñ to kah uThā
bas bas kahīñ hameñ abhī sāhib ġhash aa.egā
rījhe to us ke taur pe majlis meñ shaiḳh jī
phir bhī milā to ḳhuub sā un ko rijhā.egā
jalve se us ke jal ke hue ḳhaak sang-o-ḳhisht
betāb dil bahut hai ye kyā taab lā.egā
ham rah chuke jo aise hī ġham meñ khapā kiye
mā'lūm jī kī chaal se hotā hī jā.egā
uḌ kar lage hai paañv meñ zulf us kī pechdār
baazī nahīñ ye saañp jo koī khilā.egā
uḌtī rahegī ḳhaak junūñ kartī dasht dasht
kuchh dast agar ye be-sar-o-sāmāñ bhī pā.egā
darpe hai ab vo saada qarāvul-pisar bahut
dekheñ to 'mīr' ke ta.iiñ koī bachā.egā
wo dil nahin raha hai tab jo uThaega
ya lohu ashk-e-KHuni se munh par bahaega
ab ye nazar paDe hai ki bargashta wo mizha
kawish karegi Tuk bhi to sanbhla na jaega
khincha jo main wo saad-e-simin to kah uTha
bas bas kahin hamein abhi sahib ghash aaega
rijhe to us ke taur pe majlis mein shaiKH ji
phir bhi mila to KHub sa un ko rijhaega
jalwe se us ke jal ke hue KHak sang-o-KHisht
betab dil bahut hai ye kya tab laega
hum rah chuke jo aise hi gham mein khapa kiye
ma'lum ji ki chaal se hota hi jaega
uD kar lage hai panw mein zulf us ki pechdar
bazi nahin ye sanp jo koi khilaega
uDti rahegi KHak junun karti dasht dasht
kuchh dast agar ye be-sar-o-saman bhi paega
darpe hai ab wo sada qarawul-pisar bahut
dekhen to 'mir' ke tain koi bachaega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1062
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.