wo kahan dhum jo dekhi gai chashm-e-tar se
vo kahāñ dhuum jo dekhī ga.ī chashm-e-tar se
abr kyā kyā uThe hangāme se kyā kyā barse
ho bar-afroḳhta vo but jo mai-e-ahmar se
aag nikle hai tamāshe ke ta.iiñ patthar se
Dhab kuchh achchhā nahīñ barham-zadan-e-mizhgāñ kā
kaaT Dālegā galā apnā koī ḳhanjar se
thā navishte meñ ki yuuñ suukh ke mariye us bin
ustuḳhvāñ tan pe numūdār haiñ sab mistar se
yuuñ to das gaz kī zabāñ ham bhī butāñ rakhte haiñ
baat ko tuul nahīñ dete ḳhudā ke Dar se
sair karne jo chale hai kabhū vo fitna-ḳhirām
shahr meñ shor-e-qayāmat uThe hai har ghar se
'ishq ke kūche meñ phir paañv nahīñ rakhne ke ham
ab ke Tal jaatī hai kalval ye agar sar par se
mehr kī us se tavaqqo' ġhalatī apnī thī
kahīñ dildārī huī bhī hai kisū dilbar se
kūcha-e-yār hai kyā turfa balā-ḳhez maqām
aate haiñ fitna-o-āshob chale ūdhar se
saath sonā jo gayā us kā bahut dil taḌpā
barsoñ phir 'mīr' ye pahlū na lage bistar se
wo kahan dhum jo dekhi gai chashm-e-tar se
abr kya kya uThe hangame se kya kya barse
ho bar-afroKHta wo but jo mai-e-ahmar se
aag nikle hai tamashe ke tain patthar se
Dhab kuchh achchha nahin barham-zadan-e-mizhgan ka
kaT Dalega gala apna koi KHanjar se
tha nawishte mein ki yun sukh ke mariye us bin
ustuKHwan tan pe numudar hain sab mistar se
yun to das gaz ki zaban hum bhi butan rakhte hain
baat ko tul nahin dete KHuda ke Dar se
sair karne jo chale hai kabhu wo fitna-KHiram
shahr mein shor-e-qayamat uThe hai har ghar se
'ishq ke kuche mein phir panw nahin rakhne ke hum
ab ke Tal jati hai kalwal ye agar sar par se
mehr ki us se tawaqqo' ghalati apni thi
kahin dildari hui bhi hai kisu dilbar se
kucha-e-yar hai kya turfa bala-KHez maqam
aate hain fitna-o-ashob chale udhar se
sath sona jo gaya us ka bahut dil taDpa
barson phir 'mir' ye pahlu na lage bistar se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.