wo nahin milta ek kisu se marte hain udhar ja-ja log
vo nahīñ miltā ek kisū se marte haiñ ūdhar jā-jā log
yā'nī zaa.e' apne ta.iiñ karte haiñ us bin kyā kyā log
jaise ġham-e-hijrāñ meñ us ke 'āshiq jī kho baiThe haiñ
barsoñ maare charḳh falak to aise hoveñ paidā log
zulf-o-ḳhāl-o-ḳhat se us ke jahāñ-tahāñ ab mab.has hai
'aql huī hai gum ḳhilqat kī yā kahte haiñ saudā log
chaar qadam chalne meñ us ke dekhte jaate haiñ jo kafak
fitne sar khīñchā hī kareñ haiñ ek qayāmat barpā log
duniyā jaa.e nahīñ rahne kī 'mīr' ġhurūr nahīñ achchhā
jo jāgah se jaate haiñ apnī ve karte haiñ bejā log
wo nahin milta ek kisu se marte hain udhar ja-ja log
ya'ni zae' apne tain karte hain us bin kya kya log
jaise gham-e-hijran mein us ke 'ashiq ji kho baiThe hain
barson mare charKH falak to aise howen paida log
zulf-o-KHal-o-KHat se us ke jahan-tahan ab mabhas hai
'aql hui hai gum KHilqat ki ya kahte hain sauda log
chaar qadam chalne mein us ke dekhte jate hain jo kafak
fitne sar khincha hi karen hain ek qayamat barpa log
duniya jae nahin rahne ki 'mir' ghurur nahin achchha
jo jagah se jate hain apni we karte hain beja log
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1668
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.