yaad aa gaya to bahne lagin aankhen ju ki tarh
yaad aa gayā to bahne lagīñ āñkheñ jū kī tarh
kuchh aa ga.ī thī sarv-e-chaman meñ kisū kī tarh
chaspāñ-qabā vo shoḳh sadā ġhusse hī rahā
chīn-e-jabīñ se us kī uThā.ī utū kī tarh
gaalī laḌā.ī aage to tum jānte na the
ab ye nikālī tum ne na.ī guftugū kī tarh
ham jānte the taaza binā-e-jahāñ ko lek
ye manzil-e-ḳharāb huī hai kabhū kī tarh
sarsabz ham hue na the jo zard ho chale
is kisht meñ paḌī ye hamāre numū kī tarh
ve din kahāñ ki mast-e-sar-andāz ḳhum meñ the
sar ab to jhojhrā hai shikasta subū kī tarh
taskīn dil kī kab huī sair-e-chaman kiye
go phuul dil meñ aa ga.e kuchh us ke rū kī tarh
āḳhir ko us kī raah meñ ham aap gum hue
muddat meñ paa.ī yaar kī ye justujū kī tarh
kyā log yuuñ hī ātish-e-sozāñ meñ jā paḌe
kuchh hogī jaltī aag meñ us tund-ḳhū kī tarh
Dartā huuñ chāk-e-dil ko mire palkoñ se siye
nāzuk nazar paḌī hai bahut us rafū kī tarh
dhote haiñ ashk-e-ḳhūnī se dast-o-dahan ko 'mīr'
taur-e-namāz kyā hai jo ye hai vuzū kī tarh
yaad aa gaya to bahne lagin aankhen ju ki tarh
kuchh aa gai thi sarw-e-chaman mein kisu ki tarh
chaspan-qaba wo shoKH sada ghusse hi raha
chin-e-jabin se us ki uThai utu ki tarh
gali laDai aage to tum jaante na the
ab ye nikali tum ne nai guftugu ki tarh
hum jaante the taza bina-e-jahan ko lek
ye manzil-e-KHarab hui hai kabhu ki tarh
sarsabz hum hue na the jo zard ho chale
is kisht mein paDi ye hamare numu ki tarh
we din kahan ki mast-e-sar-andaz KHum mein the
sar ab to jhojhra hai shikasta subu ki tarh
taskin dil ki kab hui sair-e-chaman kiye
go phul dil mein aa gae kuchh us ke ru ki tarh
aaKHir ko us ki rah mein hum aap gum hue
muddat mein pai yar ki ye justuju ki tarh
kya log yun hi aatish-e-sozan mein ja paDe
kuchh hogi jalti aag mein us tund-KHu ki tarh
Darta hun chaak-e-dil ko mere palkon se siye
nazuk nazar paDi hai bahut us rafu ki tarh
dhote hain ashk-e-KHuni se dast-o-dahan ko 'mir'
taur-e-namaz kya hai jo ye hai wuzu ki tarh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1125
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.