yan apni aankhen phir gain par wo na aa phira
yaañ apnī āñkheñ phir ga.iiñ par vo na aa phirā
dekhā na bad-gumān hamārā bhalā phirā
aaya na phir vo ā.ina-rū Tuk nazar mujhe
maiñ muñh par apne ḳhaak male jā-ba-jā phirā
kyā aur jī ruñdhe kisū kā tere hijr meñ
sau baar apne muñh se jigar to gayā phirā
allah re dilkashī kahīñ dekhā jo garm-e-nāz
juuñ saaya us ke saath malak phir lagā phirā
sun liijo ek baar musāfir hī ho gayā
bīmār-e-‘ishq gor se go bārhā phirā
kah vo shikasta-pā hama-hasrat na kyūñke jaa.e
jo ek din na terī galī meñ chalā phirā
tāle' phire sipahr phirā qalb phir ga.e
chande vo rashk-e-māh jo ham se judā phirā
par be-namak hai milne kī is vaqt meñ talāsh
baare vo rabt-o-dostī sab kā maza phirā
aañsū girā na rāz-e-mohabbat kā paas kar
maiñ jaise abr barsoñ ta.iiñ dil bharā phirā
be-sarfa rone lag ga.e ham bhī agar kabhū
to dekhiyo ki bādiya saarā bahā phirā
banda hai phir kahāñ kā jo sāhib ho be-dimāġh
us se ḳhudā.ī phirtī hai jis se ḳhudā phirā
ḳhāna-ḳharāb 'mīr' bhī kitnā ġhayūr thā
marte muā par us ke kabhū ghar na jā phirā
yan apni aankhen phir gain par wo na aa phira
dekha na bad-guman hamara bhala phira
aaya na phir wo aaina-ru Tuk nazar mujhe
main munh par apne KHak male ja-ba-ja phira
kya aur ji rundhe kisu ka tere hijr mein
sau bar apne munh se jigar to gaya phira
allah re dilkashi kahin dekha jo garm-e-naz
jun saya us ke sath malak phir laga phira
sun lijo ek bar musafir hi ho gaya
bimar-e-‘ishq gor se go barha phira
kah wo shikasta-pa hama-hasrat na kyunke jae
jo ek din na teri gali mein chala phira
tale' phire sipahr phira qalb phir gae
chande wo rashk-e-mah jo hum se juda phira
par be-namak hai milne ki is waqt mein talash
bare wo rabt-o-dosti sab ka maza phira
aansu gira na raaz-e-mohabbat ka pas kar
main jaise abr barson tain dil bhara phira
be-sarfa rone lag gae hum bhi agar kabhu
to dekhiyo ki baadiya sara baha phira
banda hai phir kahan ka jo sahib ho be-dimagh
us se KHudai phirti hai jis se KHuda phira
KHana-KHarab 'mir' bhi kitna ghayur tha
marte mua par us ke kabhu ghar na ja phira
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0712
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.