yar ka jaur-o-sitam kaam hi kar jata hai
yaar kā jaur-o-sitam kaam hī kar jaatā hai
kitnā jī āshiq-e-betāb kā mar jaatā hai
jaise girdāb hai gardish mirī har-chār taraf
shauq kyā jaane liye mujh ko kidhar jaatā hai
joshish-e-ashk meñ Tuk Thahre raho pesh-e-nazar
ab koī pal meñ ye sailāb utar jaatā hai
zard ruḳhsār pe kyoñ ashk na aave gul-rang
aage se āñkhoñ ke vo bāġh-e-nazar jaatā hai
zeh garebāñ kī hai ḳhūñ-nāb se tar hotī nahīñ
saarā zanjīra-e-dāman bhī to bhar jaatā hai
vā.iz-e-shahr tunuk-āb hai mānind-e-habāb
Tuk havā lagtī hai us ko to aphar jaatā hai
kyā likhūñ baḳht kī bargashtagī nāloñ se mire
nāma-bar mujh se kabūtar bhī chapar jaatā hai
aan is dilbar-e-shīrīñ kī chhurī shahd kī hai
āshiq ik aan hī meñ jī se guzar jaatā hai
har sahar pīchhe us aubāsh ke ḳhurshīd ai 'mīr'
Dhaal talvār liye jaise nafar jaatā hai
yar ka jaur-o-sitam kaam hi kar jata hai
kitna ji aashiq-e-betab ka mar jata hai
jaise girdab hai gardish meri har-chaar taraf
shauq kya jaane liye mujh ko kidhar jata hai
joshish-e-ashk mein Tuk Thahre raho pesh-e-nazar
ab koi pal mein ye sailab utar jata hai
zard ruKHsar pe kyon ashk na aawe gul-rang
aage se aankhon ke wo bagh-e-nazar jata hai
zeh gareban ki hai KHun-nab se tar hoti nahin
sara zanjira-e-daman bhi to bhar jata hai
waiz-e-shahr tunuk-ab hai manind-e-habab
Tuk hawa lagti hai us ko to aphar jata hai
kya likhun baKHt ki bargashtagi nalon se mere
nama-bar mujh se kabutar bhi chapar jata hai
aan is dilbar-e-shirin ki chhuri shahd ki hai
aashiq ek aan hi mein ji se guzar jata hai
har sahar pichhe us aubash ke KHurshid ai 'mir'
Dhaal talwar liye jaise nafar jata hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1290
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.