ye ghalat ki main piya hun qadah-e-sharab tujh bin
ye ġhalat ki maiñ piyā huuñ qadah-e-sharāb tujh bin
na gale se mere utrā kabhū qatra-e-āb tujh bin
yahī bastī āshiqoñ kī kabhū sair karne chal tū
ki mahalle ke mahalle paḌe haiñ ḳharāb tujh bin
maiñ lahū piyūñ huuñ ġham meñ evaz-e-sharāb saaqī
shab-e-meġh ho ga.ī hai shab-e-māhtāb tujh bin
ga.ī umr merī saarī jaise sham.a baav ke biich
yahī ronā jalnā galnā yahī iztirāb tujh bin
sabhī ātishīñ haiñ naale sabhī zamharīrī aaheñ
mirī jaan par rahā hai ġharaz ik azaab tujh bin
tire ġham kā shukr-e-ne.amat karūñ kyā ai muġhbache maiñ
na huā ki maiñ na khāyā jigar-e-kabāb tujh bin
nahīñ jiite jī to mumkin hameñ tujh baġhair sonā
magar āñ-ki mar ke kiije tah-e-ḳhāk ḳhvāb tujh bin
bure haal ho ke martā jo dirang 'mīr' kartā
ye bhalā huā sitamgar ki muā shitāb tujh bin
ye ghalat ki main piya hun qadah-e-sharab tujh bin
na gale se mere utra kabhu qatra-e-ab tujh bin
yahi basti aashiqon ki kabhu sair karne chal tu
ki mahalle ke mahalle paDe hain KHarab tujh bin
main lahu piyun hun gham mein ewaz-e-sharab saqi
shab-e-megh ho gai hai shab-e-mahtab tujh bin
gai umr meri sari jaise shama baw ke bich
yahi rona jalna galna yahi iztirab tujh bin
sabhi aatishin hain nale sabhi zamhariri aahen
meri jaan par raha hai gharaz ek azab tujh bin
tere gham ka shukr-e-neamat karun kya ai mughbache main
na hua ki main na khaya jigar-e-kabab tujh bin
nahin jite ji to mumkin hamein tujh baghair sona
magar aan-ki mar ke kije tah-e-KHak KHwab tujh bin
bure haal ho ke marta jo dirang 'mir' karta
ye bhala hua sitamgar ki mua shitab tujh bin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0357
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.