yun qaidiyon se kab tain hum tang-tar rahen
yuuñ qaidiyoñ se kab ta.iiñ ham tang-tar raheñ
jī chāhtā hai jā ke kisū or mar raheñ
ai kaash ham ko sukr kī hālat rahe mudām
tā haal kī ḳharābī se ham be-ḳhabar raheñ
rahte haiñ yuuñ havās pareshāñ ki juuñ kahīñ
do tiin aa ke lauTe musāfir utar raheñ
vā'da to tab ho sub.h kā jab ham bhī jāñ-balab
jaise charāg-e-āḳhir-e-shab tā-sahar raheñ
āvārgī kī sab haiñ ye ḳhāna-ḳharābiyāñ
log aaveñ dekhne ko bahut ham jo ghar raheñ
ham ne bhī nazr kī hai ki phiriye chaman ke gird
yārab qafas ke chhūTne tak bāl-o-par raheñ
in dilbaroñ kī aañkh nahīñ jā-e-e'timād
jab tak raheñ ye chāhiye pesh-e-nazar raheñ
fardā kī fikr aaj nahīñ muqtazā-e-'aql
kal kī bhī dekh leveñge kal ham agar raheñ
teġh-o-tabar rakhā na karo paas 'mīr' ke
aisā na ho ki aap ko zaa.e' ve kar raheñ
yun qaidiyon se kab tain hum tang-tar rahen
ji chahta hai ja ke kisu or mar rahen
ai kash hum ko sukr ki haalat rahe mudam
ta haal ki KHarabi se hum be-KHabar rahen
rahte hain yun hawas pareshan ki jun kahin
do tin aa ke lauTe musafir utar rahen
wa'da to tab ho subh ka jab hum bhi jaan-balab
jaise charag-e-aKHir-e-shab ta-sahar rahen
aawargi ki sab hain ye KHana-KHarabiyan
log aawen dekhne ko bahut hum jo ghar rahen
hum ne bhi nazr ki hai ki phiriye chaman ke gird
yarab qafas ke chhuTne tak baal-o-par rahen
in dilbaron ki aankh nahin ja-e-e'timad
jab tak rahen ye chahiye pesh-e-nazar rahen
farda ki fikr aaj nahin muqtaza-e-'aql
kal ki bhi dekh lewenge kal hum agar rahen
tegh-o-tabar rakha na karo pas 'mir' ke
aisa na ho ki aap ko zae' we kar rahen
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0892
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.