zar rakha behaal rakha betab rakha bimar rakha
zaar rakhā behāl rakhā betāb rakhā bīmār rakhā
haal rakhā thā kuchh bhī ham ne ishq ne āḳhir maar rakhā
mailān us kā thā kaahe ko jānib ulfat-keshoñ ke
apnī taraf se ham ne ab tak us zālim se pyaar rakhā
ishq bhī ham meñ haa.e tasarruf kaise kaise kartā hai
dil ko chaak jigar ko zaḳhmī āñkhoñ ko ḳhūñ-bār rakhā
kyā pūchho ho diiñ ke akābir fāzil kāmil sābir-e-ranj
izzat vaale kyā logoñ ko galiyoñ meñ un ne ḳhaar rakhā
kaam us se ik taur pe lete be-taur us ko hone na dete
haif hai 'mīr' sipahr-e-dūñ ne ham se us ko na yaar rakhā
zar rakha behaal rakha betab rakha bimar rakha
haal rakha tha kuchh bhi hum ne ishq ne aaKHir mar rakha
mailan us ka tha kahe ko jaanib ulfat-keshon ke
apni taraf se hum ne ab tak us zalim se pyar rakha
ishq bhi hum mein hae tasarruf kaise kaise karta hai
dil ko chaak jigar ko zaKHmi aankhon ko KHun-bar rakha
kya puchho ho din ke akabir fazil kaamil sabir-e-ranj
izzat wale kya logon ko galiyon mein un ne KHar rakha
kaam us se ek taur pe lete be-taur us ko hone na dete
haif hai 'mir' sipahr-e-dun ne hum se us ko na yar rakha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1089
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.