zindagi hoti hai apni gham ke mare dekhiye
zindagī hotī hai apnī ġham ke maare dekhiye
muuñd liiñ āñkheñ idhar se tum ne pyāre dekhiye
laḳht-e-dil kab tak ilāhī chashm se Tapkā kareñ
ḳhaak meñ tā-chand aise la.al-pāre dekhiye
ho chukā roz-e-jazā ab ai shahīdān-e-vafā
chauñkte haiñ ḳhūn-e-ḳhufta kab tumhāre dekhiye
rāh-e-dūr-e-ishq meñ ab to rakhā ham ne qadam
rafta rafta pesh kyā aatā hai baare dekhiye
sīna-e-majrūh bhī qābil huā hai sair ke
ek din to aan kar ye zaḳhm saare dekhiye
ḳhanjar-e-bedād ko kyā dekhte ho dam-ba-dam
chashm se insāf kī siine hamāre dekhiye
ek ḳhuuñ ho bah gayā do rote hī rote ga.e
dīda-o-dil ho ga.e haiñ sab kināre dekhiye
shust-o-shū kā us kī paanī jam.a ho kar mah banā
aur muñh dhone ke chhīñToñ se sitāre dekhiye
rah ga.e sote ke sote kārvāñ jaatā rahā
ham to 'mīr' us rah ke ḳhvābīda haiñ haare dekhiye
zindagi hoti hai apni gham ke mare dekhiye
mund lin aankhen idhar se tum ne pyare dekhiye
laKHt-e-dil kab tak ilahi chashm se Tapka karen
KHak mein ta-chand aise lal-pare dekhiye
ho chuka roz-e-jaza ab ai shahidan-e-wafa
chaunkte hain KHun-e-KHufta kab tumhaare dekhiye
rah-e-dur-e-ishq mein ab to rakha hum ne qadam
rafta rafta pesh kya aata hai bare dekhiye
sina-e-majruh bhi qabil hua hai sair ke
ek din to aan kar ye zaKHm sare dekhiye
KHanjar-e-bedad ko kya dekhte ho dam-ba-dam
chashm se insaf ki sine hamare dekhiye
ek KHun ho bah gaya do rote hi rote gae
dida-o-dil ho gae hain sab kinare dekhiye
shust-o-shu ka us ki pani jama ho kar mah bana
aur munh dhone ke chhinTon se sitare dekhiye
rah gae sote ke sote karwan jata raha
hum to 'mir' us rah ke KHwabida hain haare dekhiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0479
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.