zulm hue hain kya kya hum par sabr kiya hai kya kya hum

zulm hue hain kya kya hum par sabr kiya hai kya kya hum
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
zulm hue haiñ kyā kyā ham par sabr kiyā hai kyā kyā ham
aan lage haiñ gor kināre us kī galī meñ jā jā ham
haahā hī hī kar Tālegā us kā ġhurūr do-chandāñ hai
ghighiyāne kā ab kyā hāsil yūñhī kare haiñ haahā ham
ab hairat hai kis kis jāgah pamba-o-marham rakhne kī
qad to kiyā hai sarv-e-charāġhāñ daaġh badan par khā khā ham
sair-e-ḳhayāl junūñ kā kariye sarf kareñ tā ham par sab
patthar aap galī kūchoñ meñ Dher kiye haiñ lā lā ham
'mīr' faqīr hue to ik din kyā kahte haiñ beTe se
umr rahī hai thoḌī ise ab kyūñkar kāTeñ baabā ham
zulm hue hain kya kya hum par sabr kiya hai kya kya hum
aan lage hain gor kinare us ki gali mein ja ja hum
haha hi hi kar Talega us ka ghurur do-chandan hai
ghighiyane ka ab kya hasil yunhi kare hain haha hum
ab hairat hai kis kis jagah pamba-o-marham rakhne ki
qad to kiya hai sarw-e-charaghan dagh badan par kha kha hum
sair-e-KHayal junun ka kariye sarf karen ta hum par sab
patthar aap gali kuchon mein Dher kiye hain la la hum
'mir' faqir hue to ek din kya kahte hain beTe se
umr rahi hai thoDi ise ab kyunkar kaTen baba hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1437
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.