barish-e-nur sar-e-arz-o-sama dekhi hai
bārish-e-nūr sar-e-arz-o-samā dekhī hai
har jagah ism-e-mohammad kī ziyā dekhī hai
zikr-e-sarkār-e-do-'ālam jo zabāñ par aayā
ham ne mahkī huī mahfil kī fazā dekhī hai
jab pukārā hai to mahsūs kiyā aur bhī qurb
be-pukāre bhī magar un kī 'atā dekhī hai
jab bhī qur.āñ kī tilāvat meñ vo naam aayā hai
paikar-e-harf meñ tanvīr-e-ḳhudā dekhī hai
har sahar sajda meñ thī gumbad-e-ḳhazrā ke qarīb
ham ne ik aisī sahar salle-'alā dekhī hai
ham vahāñ pahuñche jo sauġhāt darūdoñ kī liye
lau charāġhoñ kī sar-e-dosh-e-havā dekhī hai
zehn khultā hī nahīñ un ke tasavvur ke baġhair
un ko sochā hai to phir fikr-e-rasā dekhī hai
raushnī jaise añdheroñ ko chhupā letī hai
yuuñ ḳhatā-poshī-e-arbāb-e-ḳhatā dekhī hai
ham 'sirāj' un kī lagan se haiñ munavvar varna
lau charāġhoñ kī bhaḌakte ba-ḳhudā dekhī hai
barish-e-nur sar-e-arz-o-sama dekhi hai
har jagah ism-e-mohammad ki ziya dekhi hai
zikr-e-sarkar-e-do-'alam jo zaban par aaya
hum ne mahki hui mahfil ki faza dekhi hai
jab pukara hai to mahsus kiya aur bhi qurb
be-pukare bhi magar un ki 'ata dekhi hai
jab bhi quran ki tilawat mein wo nam aaya hai
paikar-e-harf mein tanwir-e-KHuda dekhi hai
har sahar sajda mein thi gumbad-e-KHazra ke qarib
hum ne ek aisi sahar salle-'ala dekhi hai
hum wahan pahunche jo saughat darudon ki liye
lau charaghon ki sar-e-dosh-e-hawa dekhi hai
zehn khulta hi nahin un ke tasawwur ke baghair
un ko socha hai to phir fikr-e-rasa dekhi hai
raushni jaise andheron ko chhupa leti hai
yun KHata-poshi-e-arbab-e-KHata dekhi hai
hum 'siraj' un ki lagan se hain munawwar warna
lau charaghon ki bhaDakte ba-KHuda dekhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.