ban aai teri shafaat se ru-siyahon ki

Ameer Minai

ban aai teri shafaat se ru-siyahon ki

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

  ban aa.ī terī shafā.at se rū-siyāhoñ

  ki fard dāḳhil-e-daftar huī gunāhoñ

  tire faqīr dikhā.eñ jo martaba apnā

  nazar se utre chaḌhī bārgāh shāhoñ

  zarā bhī chashm-e-karam ho to le uḌeñ hūreñ

  samajh ke surma siyāhī mire gunāhoñ

  ḳhushā-nasīb jo terī galī meñ dafn hue

  jināñ meñ rūheñ haiñ in maġhfirat-panāhoñ

  farishte karte haiñ dāmān-e-zulf-e-hūr se saaf

  jo gard paḌtī hai us rauze par nigāhoñ

  rukegī aa ke shafā.at tirī ḳharīdārī

  khuleñgī hashr meñ jab gaThḌiyāñ gunāhoñ

  maiñ nā-tavān huuñ pahuñchūñgā aap tak kyūñkar

  ki bhiiḌ hogī qayāmat meñ uzr-ḳhvāhoñ

  nigāh-e-lutf hai lāzim ki duur ho ye marz

  dabā rahī hai siyāhī mujhe gunāhoñ

  ḳhudā karīm mohammad shafī-e-roz-e-jazā

  'amīr' kyā hai haqīqat mire gunāhoñ

  ban aai teri shafaat se ru-siyahon ki

  ki fard daKHil-e-daftar hui gunahon ki

  tere faqir dikhaen jo martaba apna

  nazar se utre chaDhi bargah shahon ki

  zara bhi chashm-e-karam ho to le uDen huren

  samajh ke surma siyahi mere gunahon ki

  KHusha-nasib jo teri gali mein dafn hue

  jinan mein ruhen hain in maghfirat-panahon ki

  farishte karte hain daman-e-zulf-e-hur se saf

  jo gard paDti hai us rauze par nigahon ki

  rukegi aa ke shafaat teri KHaridari

  khulengi hashr mein jab gaThDiyan gunahon ki

  main na-tawan hun pahunchunga aap tak kyunkar

  ki bhiD hogi qayamat mein uzr-KHwahon ki

  nigah-e-lutf hai lazim ki dur ho ye marz

  daba rahi hai siyahi mujhe gunahon ki

  KHuda karim mohammad shafi-e-roz-e-jaza

  'amir' kya hai haqiqat mere gunahon ki

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now