darguzar hai jis ka shewa aur ho gham-KHwar bhi

darguzar hai jis ka shewa aur ho gham-KHwar bhi
Tanveer Jamal Usmani
MORE BYTanveer Jamal Usmani
dar-guzar hai jiskā sheva aur ho ġham-ḳhvār bhī
rahmat-e-haq bhī hai us par rahmat-e-sarkār bhī
dekh kar shaidā hue sab yaar bhī aġhyār bhī
aap kī guftār bhī aur aap kā kirdār bhī
marhabā sad-marhabā sad-marhabā sarkār haiñ
rahmatul-lil'ālamīñ bhī ahmad-e-muḳhtār bhī
kaam aa.ī hai nabī ke diin kī tablīġh meñ
maslahat bhī darguzar bhī sulh bhī paikār bhī
rah-ravān-e-rāh-e-haq ke sāmne nākām haiñ
āñdhiyāñ bhī bijliyāñ bhī mauj bhī mañjdhār bhī
ḳhāndān-e-mustafā meñ ek se baḌh kar hai ek
bā-vafā bhī pārsā bhī dost bhī ḳhud.dār bhī
jab nabī tashrīf laa.e to sahārā pā ga.e
ġham-zada bhī be-navā bhī past bhī nādār bhī
mo'jiza hai ek ishāra aap kī angusht kā
chāñd bhī TukḌe huā aur jhuk ga.e ashjār bhī
ik taraf hai rāh-e-āqā ik taraf duniyā kī raah
zindagī āsān bhī hai zindagī dushvār bhī
vo bhaTak sakte nahīñ hargiz ki jin ke rāhbar
un ke ahl-e-bait bhī haiñ aur un ke yaar bhī
naa't jab paḌhne lagā 'tanvīr' bazm-e-nā't meñ
dhaḌkanoñ kī ḳhud-ba-ḳhud baḌhne lagī raftār bhī
dar-guzar hai jiska shewa aur ho gham-KHwar bhi
rahmat-e-haq bhi hai us par rahmat-e-sarkar bhi
dekh kar shaida hue sab yar bhi aghyar bhi
aap ki guftar bhi aur aap ka kirdar bhi
marhaba sad-marhaba sad-marhaba sarkar hain
rahmatul-lil'alamin bhi ahmad-e-muKHtar bhi
kaam aai hai nabi ke din ki tabligh mein
maslahat bhi darguzar bhi sulh bhi paikar bhi
rah-rawan-e-rah-e-haq ke samne nakaam hain
aandhiyan bhi bijliyan bhi mauj bhi manjdhaar bhi
KHandan-e-mustafa mein ek se baDh kar hai ek
ba-wafa bhi parsa bhi dost bhi KHuddar bhi
jab nabi tashrif lae to sahaara pa gae
gham-zada bhi be-nawa bhi past bhi nadar bhi
mo'jiza hai ek ishaara aap ki angusht ka
chand bhi TukDe hua aur jhuk gae ashjar bhi
ek taraf hai rah-e-aqa ek taraf duniya ki rah
zindagi aasan bhi hai zindagi dushwar bhi
wo bhaTak sakte nahin hargiz ki jin ke rahbar
un ke ahl-e-bait bhi hain aur un ke yar bhi
na't jab paDhne laga 'tanwir' bazm-e-na't mein
dhaDkanon ki KHud-ba-KHud baDhne lagi raftar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.