dil ka sukun chain ka saman hain mustafa
dil kā sukūn chain kā sāmāñ haiñ mustafā
ham bekasoñ ke dard kā darmāñ haiñ mustafā
mahbūb-e-rab haiñ rahmat-e-yazdāñ haiñ mustafā
mahshar meñ baḳhshishoñ kā bhī sāmāñ haiñ mustafā
ilhād-o-kufr miT ga.e saare jahān se
zulmat-kade meñ sham'-e-farozāñ haiñ mustafā
hai un kī shaan āyat-e-qur.ān se 'ayāñ
ham par ḳhudā-e-pāk kā ehsāñ haiñ mustafā
lail-o-nahār khilte haiñ vahdāniyat ke phuul
vahdat kī sarzamīñ pe gulistāñ haiñ mustafā
sab ke liye payām-e-shafā'at hai un kā 'aam
har ek kī najāt kā sāmāñ haiñ mustafā
'araq-e-badan se aap ke mahkī hai kā.enāt
haañ nik.hat-e-bahār-o-gulistāñ haiñ mustafā
hotā hai ḳhatm un pe nubuvvat kā silsila
'mohsin' 'ayāñ hai ḳhatm-e-rasūlāñ haiñ mustafā
dil ka sukun chain ka saman hain mustafa
hum bekason ke dard ka darman hain mustafa
mahbub-e-rab hain rahmat-e-yazdan hain mustafa
mahshar mein baKHshishon ka bhi saman hain mustafa
ilhad-o-kufr miT gae sare jahan se
zulmat-kade mein sham'-e-farozan hain mustafa
hai un ki shan aayat-e-quran se 'ayan
hum par KHuda-e-pak ka ehsan hain mustafa
lail-o-nahaar khilte hain wahdaniyat ke phul
wahdat ki sarzamin pe gulistan hain mustafa
sab ke liye payam-e-shafa'at hai un ka 'am
har ek ki najat ka saman hain mustafa
'araq-e-badan se aap ke mahki hai kaenat
han nikhat-e-bahaar-o-gulistan hain mustafa
hota hai KHatm un pe nubuwwat ka silsila
'mohsin' 'ayan hai KHatm-e-rasulan hain mustafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.