dil ki har aah mein itna to asar ho jae
dil kī har aah meñ itnā to asar ho jaa.e
maiñ idhar taḌpūñ udhar un ko ḳhabar ho jaa.e
aap rahmat ke payambar haiñ rasūl-e-'arabī
ham ġhulāmoñ pe bhī ik lutf-e-nazar ho jaa.e
chehra qur.ān badan nuur kā allāh allāh
ik jhalak dekh ke dīvāna bashar ho jaa.e
pā-e-aqdas kī chamak se haiñ sitāre raushan
aap muñh pher leñ be-nūr qamar ho jaa.e
is se pahle ki qazā aa.e tamannāoñ ko
yā-nabī shahr-e-madīna kā safar ho jaa.e
maiñ samajh lūñgā mohabbat kī yahī hai me'rāj
mid.hat-e-nūr kā hāsil jo hunar ho jaa.e
hai 'shamīm' us shah-e-kaunain kī rahmat pe nisār
jis ke darbār meñ zarra bhī guhar ho jaa.e
dil ki har aah mein itna to asar ho jae
main idhar taDpun udhar un ko KHabar ho jae
aap rahmat ke payambar hain rasul-e-'arabi
hum ghulamon pe bhi ek lutf-e-nazar ho jae
chehra quran badan nur ka allah allah
ek jhalak dekh ke diwana bashar ho jae
pa-e-aqdas ki chamak se hain sitare raushan
aap munh pher len be-nur qamar ho jae
is se pahle ki qaza aae tamannaon ko
ya-nabi shahr-e-madina ka safar ho jae
main samajh lunga mohabbat ki yahi hai me'raj
midhat-e-nur ka hasil jo hunar ho jae
hai 'shamim' us shah-e-kaunain ki rahmat pe nisar
jis ke darbar mein zarra bhi guhar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.