hamara rishta hai us sadiq-o-amin ke sath
hamārā rishta hai us sādiq-o-amīn ke saath
vo jis kī rahmateñ yaksāñ haiñ 'ālamīn ke saath
jo ḳhāksārī na kahiye to aur kyā kahiye
falak-nashīñ kā juḌe rahnā yuuñ zamīn ke saath
vo jis pe ‘azmat-o-rif’at tamām hotī haiñ
tumhārī zaat hai kah saktā huuñ yaqīn ke saath
jo nā't-e-pāk kī mahfil sajā.e rahte haiñ
ilāhī hashr kare un kā sālihīn ke saath
mire rasūl kī mo’jiz-bayāniyāñ le kar
ḳhalā meñ uḌne lagā aadmī machine ke saath
rahe laboñ pe tarāna rasūl-e-akram kā
jahāñ se jab bhī maiñ jā.ūñ to jā.ūñ diin ke saath
namāz baa'd meñ sarkār ko huī mausūl
paḌhā dī pahle hī aqsā meñ mursalīn ke saath
na jā sakā to ye āñkheñ hī bhej dūñgā 'nūr'
nabī ke shahr-e-madīna meñ zā.erīn ke saath
hamara rishta hai us sadiq-o-amin ke sath
wo jis ki rahmaten yaksan hain 'alamin ke sath
jo KHaksari na kahiye to aur kya kahiye
falak-nashin ka juDe rahna yun zamin ke sath
wo jis pe ‘azmat-o-rif’at tamam hoti hain
tumhaari zat hai kah sakta hun yaqin ke sath
jo na't-e-pak ki mahfil sajae rahte hain
ilahi hashr kare un ka salihin ke sath
mere rasul ki mo’jiz-bayaniyan le kar
KHala mein uDne laga aadmi machine ke sath
rahe labon pe tarana rasul-e-akram ka
jahan se jab bhi main jaun to jaun din ke sath
namaz ba'd mein sarkar ko hui mausul
paDha di pahle hi aqsa mein mursalin ke sath
na ja saka to ye aankhen hi bhej dunga 'nur'
nabi ke shahr-e-madina mein zaerin ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.