Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari bahs hai be-kar jaante hain huzur

Tanveer Jamal Usmani

hamari bahs hai be-kar jaante hain huzur

Tanveer Jamal Usmani

MORE BYTanveer Jamal Usmani

    hamārī bahs hai bekār jānte haiñ huzūr

    hamāre 'ishq me'yār jānte haiñ huzūr

    kabhī kiyā nahīñ dā'vā pārsā.ī

    maiñ jāntā huuñ ki kirdār jānte haiñ huzūr

    ḳhamosh baiThe haiñ rauze pe is liye ham bhī

    hamāre saare sarokār jānte haiñ huzūr

    mujhe yaqīñ hai vo itne qarīb haiñ mere

    ki mere qalb raftār jānte haiñ huzūr

    ḳhudā ke baa'd ḳhudā tamām duniyā meñ

    ham aap ko madad-gār jānte haiñ huzūr

    vo daf bajāte hue muntazir haiñ palkeñ bichhā.e

    maqām aap ansār jānte haiñ huzūr

    usī hisāb se karte haiñ us pe lutf-o-karam

    hai kaun kitnā talabgār jānte haiñ huzūr

    hai jis dostī zahrā ke ḳhānvāde se

    usī ko apnā vafādār jānte haiñ huzūr

    ab is se baḌh ke bhalā ‘ilm-e-ġhaib kyā hogā

    ki rab zaat ke asrār jānte haiñ huzūr

    ḳhayāl rakhiyegā 'tanvīr' naa't likhte hue

    tumhārā jazba-e-iz.hār jānte haiñ huzūr

    hamari bahs hai bekar jaante hain huzur

    hamare 'ishq ka me'yar jaante hain huzur

    kabhi kiya hi nahin da'wa parsai ka

    main jaanta hun ki kirdar jaante hain huzur

    KHamosh baiThe hain rauze pe is liye hum bhi

    hamare sare sarokar jaante hain huzur

    mujhe yaqin hai wo itne qarib hain mere

    ki mere qalb ki raftar jaante hain huzur

    KHuda ke ba'd KHuda ki tamam duniya mein

    hum aap hi ko madad-gar jaante hain huzur

    wo daf bajate hue muntazir hain palken bichhae

    maqam aap ka ansar jaante hain huzur

    usi hisab se karte hain us pe lutf-o-karam

    hai kaun kitna talabgar jaante hain huzur

    hai jis ki dosti zahra ke KHanwade se

    usi ko apna wafadar jaante hain huzur

    ab is se baDh ke bhala ‘ilm-e-ghaib kya hoga

    ki rab ki zat ke asrar jaante hain huzur

    KHayal rakhiyega 'tanwir' na't likhte hue

    tumhaara jazba-e-izhaar jaante hain huzur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now