har ghaDi nigahon mein kucha-e-madina hai
har ghaḌī nigāhoñ meñ kūcha-e-madīna hai
bas isī tasavvur meñ marnā aur jiinā hai
aap kī mohabbat meñ ashk kā har ik qatra
ashk kyā kahūñ us ko ye to ik nagīna hai
yuuñ to mujh ko jaanā hai chhoḌ kar yahāñ sab ko
saath le ke jā.ūñ jo 'ishq kā ḳhazīna hai
dil bahut laraztā hai jab bhī naa't likhtā huuñ
naa't likhne kā 'ahmad' mujh meñ kyā qarīna hai
har ghaDi nigahon mein kucha-e-madina hai
bas isi tasawwur mein marna aur jina hai
aap ki mohabbat mein ashk ka har ek qatra
ashk kya kahun us ko ye to ek nagina hai
yun to mujh ko jaana hai chhoD kar yahan sab ko
sath le ke jaun jo 'ishq ka KHazina hai
dil bahut larazta hai jab bhi na't likhta hun
na't likhne ka 'ahmad' mujh mein kya qarina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.