jari hai faiz-e-‘am risalat-maab ka
jaarī hai faiz-e-‘ām risālat-ma.āb kā
saa.il hai shād-kām risālat-ma.āb kā
āshuftagī kahīñ hai na āzurdagī kahīñ
allāh re nizām risālat-ma.āb kā
tāb-e-nazar kahūñ ki ziyā-e-tajalliyāt
āñkhoñ meñ hai qiyām risālat-ma.āb kā
har shai mohammadī hai jahān-e-hayāt kī
DhūñDūñ kahāñ maqām risālat-ma.āb kā
sajde meñ gir ga.e haiñ zamāne ke falsafī
jis dam sunā kalām risālat-ma.āb kā
sūraj se iltifāt ke mushkil pighal ga.ī
maiñ ne liyā jo naam risālat-ma.āb kā
rozīna mil rahā hai ye mujh ko huzūr se
piitā huuñ roz jaam risālat-ma.āb kā
nāpāk zehn bhī haiñ mire paak mulk meñ
nāfiz ho kyā nizām risālat-ma.āb kā
apnā libās hai na vo apnī zabān hai
chubhtā hai ehtimām risālat-ma.āb kā
mil kar uThāo parcham-e-ahrār-o-ahl-e-dīñ
aaya hai ye payām risālat-ma.āb kā
sa’ī-o-amal ke shahr kā darvāza kholiye
baaqī abhī hai kaam risālat-ma.āb kā
ek ek harf-e-nā’t adab kā hai shāhkār
sochoñ meñ hai ḳhirām risālat-ma.āb kā
is kā bhī haq hai gulshan-e-haq kī bahār par
'zauqī' bhī hai ġhulām risālat-ma.āb kā
jari hai faiz-e-‘am risalat-maab ka
sail hai shad-kaam risalat-maab ka
aashuftagi kahin hai na aazurdagi kahin
allah re nizam risalat-maab ka
tab-e-nazar kahun ki ziya-e-tajalliyat
aankhon mein hai qiyam risalat-maab ka
har shai mohammadi hai jahan-e-hayat ki
DhunDun kahan maqam risalat-maab ka
sajde mein gir gae hain zamane ke falsafi
jis dam suna kalam risalat-maab ka
suraj se iltifat ke mushkil pighal gai
main ne liya jo nam risalat-maab ka
rozina mil raha hai ye mujh ko huzur se
pita hun roz jam risalat-maab ka
napak zehn bhi hain mere pak mulk mein
nafiz ho kya nizam risalat-maab ka
apna libas hai na wo apni zaban hai
chubhta hai ehtimam risalat-maab ka
mil kar uThao parcham-e-ahrar-o-ahl-e-din
aaya hai ye payam risalat-maab ka
sa’i-o-amal ke shahr ka darwaza kholiye
baqi abhi hai kaam risalat-maab ka
ek ek harf-e-na’t adab ka hai shahkar
sochon mein hai KHiram risalat-maab ka
is ka bhi haq hai gulshan-e-haq ki bahaar par
'zauqi' bhi hai ghulam risalat-maab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.