jis pe chaDh jata hai us ahmad-e-muKHtar ka rang
jis pe chaḌh jaatā hai us ahmad-e-muḳhtār kā rang
us ko bhātā hī nahīñ hai kisī rañg-dār kā rang
raat kyā ḳhvāb meñ mahbūb-e-ḳhudā aa.e the
badlā badlā huā kyoñ hai dar-o-dīvār kā rang
saarī duniyā ko harā aur bharā rakhnā thā
is liye sabz huā gumbad-e-sarkār kā rang
shab pareshāñ hai agar zulfoñ kī tārīkī se
chāñd hairāñ hai udhar dekh ke ruḳhsār kā rang
yuuñ to rañg-dār bahut aa.e haiñ duniyā meñ magar
munfarid paayā gayā hai mire sarkār kā rang
mid.hat-e-sarvar-e-kaunain kā samra hai sabhī
kuchh dinoñ se jo alag hai mire afkār kā rang
ek hī rang meñ rangā huā paayā sab ko
kab muhājir se alag ho sakā ansār kā rang
jis pe chaDh jata hai us ahmad-e-muKHtar ka rang
us ko bhata hi nahin hai kisi rang-dar ka rang
raat kya KHwab mein mahbub-e-KHuda aae the
badla badla hua kyon hai dar-o-diwar ka rang
sari duniya ko hara aur bhara rakhna tha
is liye sabz hua gumbad-e-sarkar ka rang
shab pareshan hai agar zulfon ki tariki se
chand hairan hai udhar dekh ke ruKHsar ka rang
yun to rang-dar bahut aae hain duniya mein magar
munfarid paya gaya hai mere sarkar ka rang
midhat-e-sarwar-e-kaunain ka samra hai sabhi
kuchh dinon se jo alag hai mere afkar ka rang
ek hi rang mein ranga hua paya sab ko
kab muhajir se alag ho saka ansar ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.